The coronavirus (COVID-19) jiske karan travel and sports ke kafi sare event roke ja rahe hai, jiske karan sabhi ki daily life par kafi asar pad rha hai.
Question ye hai ki kaise COVID-19 itni texi se spread ho rha hai and iska treatment kya hai?
Ireland’s Health Service Executive, essentially the equivalent of the Department of Health & Human Services in the United States ki taraf se aisi news ayi hai jo swimmers ke najariye se behad hi positive news ho sakti hai, department ne confirm kiya hai ki coronavirus drinking water and swimming pool se nahi spread hoga agar wo proper chlorinated ho.
Ireland’s Health Protection Surveillance Center Dwara kuch details share kari gayi jo ki minimum requirement btati hai jisse COVID-19 ko inactive kiya ja sakta hai.
-pine ke pani ke chlorination ke liye, abhi ki recommendation ye hai ki Ct value ko kam se kam 15mg.min/liter hona chahiye matlb (for example exposure to 0.5 mg/l free chlorine for at least 30 minutes)
– Swimming pool ke chlorination ke liye, abhi ki jo recommendation hai wo ye hai ki kam se kam 1.0mg/l ke chlorine free residual ka maintenance. (depend krega ki pool ka type kya hai and kon sa disinfectant use hua hai).