16 Ladkiyon Ne Haath-Pair Bandhkar Periyar Nadi Ko Tairkar Paar Kiya Kochi: Doobne se hone wali deaths ko rokne ke liye Swimming seekhe ki importance ke baare awareness create karne ke liye, 6-17 saal ki 16 ladkiyon ne Saturday morning ko apne haath- pair baandhkar Periyar Nadi ko paar Kiya.
Ladkiyon ne na sirf apni swimming skills dikhai Balki ak message ko spread karne ki koshish ki, ki swimming seekhna lives bacha sakta hai. Ye event kisi bhi unforseen situation se nipatne ke liye proper security measures ke beech, Valasseril River Swimming Club dwara organize ki gayi .
Kerala fire force scuba diver Anil Mohan ka 7 saal ki bachchi Manikarnika Anil sabhi participants me sabse Chhoti thi.
Mohan ke according, recent years me kai logon ki Jaan jaane ke karan unki bachchi ko kam umra me hi swimming seekhni padi.
Mohan ne kaha, “Meri bachchi ko lagta hai ki use yah confidence mil gaya hai ki wah chhoti si umra me hi kisi adverse situation ko manage kar sakti hai. Usne 780 m ki Nadi ko asani se cross kar liya.” Unhone ye bhi kaha ki nadi me swimming seekhne se bachchon ko nature ki deeper understanding gain karne me advantage milta hai aur Nadi ki prawah swimming pool me seekhne ke comparison me better swimming skills develop karne me help karti hai.
Iss beech event me participate karne wali ladkiyon ke parents ne logon ko swimming seekhne ke liye ak safe environment banane me club ke efforts ki prashansha ki.
Club ke founder, Saji Valasseril ne kaha, “ iska aim doobne se hone wali deaths ko rokna hai. Humein ummeed hai ki ye efforts logon ko yah samjhne me help karenge ki har kisi ke liye swimming seekhna asan hai, chahe unki umra kitni bhi ho.”
Disabled Kids Ne Sikha Water Survival Skills:- Indian Swimming News
Drishti Marine, Jo ki Goa ki State- appointed lifeguard agency hai unhone ek training programme start Kiya hai Jisme disabled bachcho ko water based survival skills sikhai jayegi.
Iske liye Drishti ne Sethu Centre ke sath bhi tied up Kiya hai jisse ki bachcho ka development toh ho hi sath hi family guidance bhi mile jisse ki unhe water mei float karne ke liye help milegi.
“Water mei khelna children ke liye enjoyment toh hai hi, but Kai baar ye log water bodies mein direct chale jaate hai bina uske dangers ko samjhe huye aur agar aise mein unhe swimming skills nhi aayengu toh risk ho sakta hai,” Sethu director Dr. Nandita De Souza ne kaha.
Sethu ne Marine se baat ki aur disable bachcho ke liye aise programme ko conduct karane mein interest dikhaya.
“Disable children’s mein specially jinhe autism hua rahta hai unme death ka most common cause drowning ko hi paaya gaya hai. Toh ye programme ek opportunity ki tarah hai hamare in bachcho aur unki family ke liye ki water mei utre aur professional coaches se most competent manner mein survival skills sikhein,” unhone kaha.
Drishti Marine ke chief training officer Debanshu Das ne kaha ki lifesavers bachcho ko one-on-one training sessions dete hai. “Bahot rarely hi Aisa hota hai ki hume aise initiatives jaise ki ‘learn to float’ milte hai jisme ki log disabled children’s ko essential survival skills sikhate hai wo bhi free of cost. Mera bachcha ab swimming aur floating dono mei hi pahle se kaafi jyada confident ho gaya hai,” Zurica D’Souza ne kaha Jo khud ek parent hai.
Ye free programme Drishti ki us commitment ka part hai jisme unhone Goa ke beaches aur water bodies ke sath community swimming pool mei water safety aur inclusivity ko enhance karne ki baat kahi thi.
Primary objective toh yhi hai ki bachcho ko pahle emergency mein float karne ke liye equip Kiya Jaye q ki floating unhe calm rakhegi aur jisse ki unke survival ke chance aur bhi increase ho jayenge.
Goa ke across private locations mei ‘learn to float’ programme ko extend karne ka decision bachchon ke drowning cases ko dekhte huye liya gaya hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi