Wahi Jaha Olympic Games July Ke End Mei Start Hone Ko Hai, Sirf Swimming Hi Nahi Balki Sabhi Games Ki Preparations Start Ho Chuki Hai. Par Is Chiz Ko Lekar Japanese Doctors Ka Bhi Kuch Kahna Hai, Aaiye Dekhte Hai.
Japanese Doctors Union Ke Head Ne Kaha Ki Games Ko Host Karne Ki Wajah Se Covid-19 Ke Kuch Unique Strain Create Ho Sakte Hai.
Naoto Ueyama, Jo Ki Japan Ke Doctors Union Ki Tarah Serve Karte Hai, Unhone Is Week Announce Kiya Ki Pandemic Ki Current State Jaisi Hai Japan Mei, Use Toh Yhi Lagta Hai Ki Is Summer Games Ko Hold Karne Ki Wajah Se Virus Ka Unique Strain Create Ho Sakta Hai. Uemaya Ki Announcement Tab Aai Jab Ye Dekha Jaa Rha Hai Ki Wealthy Countries Mei Se Japan Ka Lowest Vaccination Rate Hai. April Ke End Mei, 2% Se Bhi Kam Log Coronavirus Ke Against Vaccinated Huye Hai. Ye Statistic Tab Aaya Jab Japan Ne Moderna Aur Astrazeneca Vaccines Ko Approve Nhi Kiya Tha, Halaki Ab Kar Diya Hai. Aur Jabse Vaccine Ke Option Increased Huye Hai Tab Se Vaccination Karane Walo Ka Number Bhi Thoda Increase Hua Hai.
South Africa Un Sabhi Athletes Ko Vaccinate Karne Wala Hai Jo Tokyo Jayenge:
Baki Countries Ki Tarah Hi Ab South Africa Ne Bhi Ye Bol Diya Hai Ki Wo Bhi Apne Sabhi Athletes Ko Olympic Mei Bhejne Se Pahle Vaccinate Karega.
Iske Pahle Tak Ill Aur Elderly Logo Ko Vaccinate Kiya Jaa Raha Tha Sa Mei. Country Ab Johnson & Johnson Vaccines Ka Use Karegi Olympic Athletes Ko Vaccinate Karegi.
IOC Ne Kaha Hai Ki Require Athletes Covid-19 Waiver Sign Karne Ke Liye:
Athletes Ko Games Mei Compete Karne Se Pahle Waiver Sign Karna Required Hoga, Wahi 2020 Tokyo Games Ek Upating Waiver Feature Karega Jisme Global Pandemic Ke Time Compete Karne Ke Risk Ko Consider Kiya Jayega. Ioc Ki Chief Operating Officer Lana Haddad Ke According, Ye Update “Transparency Mei Aur Games Participants Ke Informed Consent Mei” Help Karega.
Ye Decision Tab Aaya Jab Athlete Gropus, Government Officials Aur Other Organizations Ye Bolne Lage Ki Is Year Ke Baad Games Ko Host Kiya Jaaye.
Olympic Games Post-Race “Video Moments” Use Karega Athletes Ko Family Aur Friends Se Baat Karne Ke Liye:
Is Month Ke Earlier Mei Hi European Aquatics Championships Mei Jo Decision Liya Gaya Thik Waisa Hi Decision Ioc Bhi Legi Aur Unhone Kaha Hai Ki Wo Post Race Video Moments Provide Karayenge Athletes Ko Jo Compete Kar Rahe Hai.
Jaise Hi Koi Bhi Athlete Pool, Field Aur Court Se Exit Karega To Wo Ruk Kar Apne Five Family Aur Friends Se Baat Kar Sakte Hai Jinhe Wo Bulaye Honge Apne Competition Ko Follow Karne Ke Liye. Ye Sab Athletes Ke ‘Mixed Zone’ Mei Enter Karne Se Pahle Hoga, Kyu Uske Baad Wo Media Ke Through Interact Karenge.
Aasha Karte Hai Ki Ye Olympic Athletes Ke Liye Badhiya Se Ho Aur Kisi Ko Kuch Problems Na Face Karna Pade.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.