3 Indian Swimmers Ka Camp Dubai Ke Swiss International Scientific School Ke Swimming Academy Me Shuru Ho Chuka Hai. Teeno Swimmers Ka Swagat Bahut Hi Shandaar Tarike Se Hua.
Srihari Nataraj, Sajan Prakash And Kushagra Rawat Teeno Swimmers Ne Pool Me Kuch Sessions Le Bhi Liye Hai. Iske Awala 2 Swimmer Aryan Makhija And Advait Page Apni Training Usa Me Le Hi Rhe Hai Jabki India Ke Fastest Swimmer Virdhawal Khade Ne Is Camp Se Apna Name Wapas Le Liya. Iske Phle Sajan Prakash Ki Bhi Training Phuket, Thailand Me June Se Hi Chal Rhi Thi Lekin Ab Wo Is Camp Me Apni Baki Ke 2 Months Ki Training Karenge.
6 Indian Swimmers Ne Olympic B Qualification Hasil Kiya Hai And Sfi Chahti Hai Ki A Qualification Bhi Isko Hasil Ho.
6 Swimmers Jinhone Olympic Ke Liye B Qualification Hasil Kiya Hai-
- Virdhawal Khade (50m Freestyle)
- Srihari Nataraj(100m Backstroke)
- Kushagra Rawat(400m,800m,1500m Freestyle)
- Sajan Prakash(200m Butterfly)
- Aryan Makhija(800m Freestyle)
- Advait Page(800m Freestyle)
Dubai Me Pahuchne Ke Baad Corona Test Ke Results Ke Liye Swimmers And Coach Ko Ek Din Quarantine Me Rhna Pda.
Teeno Swimmers Ka Khna Hai Ki Iss Camp Ke Khtm Hone Tak India Me Bhi Pool Open Ho Jaye To Kafi Accha Rhega. India Me Covid-19 Ke Karan Pichle 5 Months Se Sare Pool Close Hai And Abhi Bhi Pool Open Hone Ki Koi Confirmation Nahi Hai.