Ek busy month ke baad jisme ISL final, Minnesota Invite, Winter Juniors aur Short Course World Championships jaise events huye, aur in sab mei se last week relatively light tha holidays ki wajah se.
Aur us wajah se Swim of The Week ka selection bhi hua hai aur isme naam aaya hai Emre Sakci ka jinhone men’s 50 backstroke mei world record create kiya hai.
Sakci ne naa sirf world record lowered kiya balki use demolish hi kar diya. Aisa unhone 24.95 ki timing clock karte huye kiya aur is timing ke sath existing mark 25.25 ka three-tenths knock kiya aur sub-25 ki history mei fastest swimmer banne ka title bhi apne naam kiya.
Sakci ne Turkish SC Championships (Dec. 24-28) mei compete karte huye aisa kiya aur 50 free (21.10) aur 100 free (46.63) ke saath national records bhi lower kiya.
Ye record ab tak Cameron van der Burgh ke naam tha jo unhone 2009 mei set kiya tha. Aur is record ki barabari IIya Shymanovich ne kit hi November mei hui 2021 European SC Championships mei, is race mei Sakci runner-up thi 25.39 ki timing ke saath.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi