Unhone 28 To 29 July Ke Beech 17 Hours And 25 Minutes Me English Channel Cross Kiya Aur 34km Ki Distance Cover Kiya.
Autism Spectrum Disorder Suffer Karne Wali Mumbai Ki 16 Saal Ki Jiya Rai English Channel Cross Karne Wali World Ki Youngest And Fastest Para Swimmer Ban Gayi Hain. Ye Unhone 28-29 July Ko Accomplish Kiya.
Jiya Ne 28-29 July Ke Beech 17 Hours And 25 Minutes Me England Ke Abbot’s Cliff Se France Ke Pointe De La Courte-Dune Tak English Channel Ko Tairkar Cross Kiya Aur 34km Ki Distance Cover Ki.
Wah Mumbai Me Serve Karne Wali MC-At Arms Madan Rai Ki Beti Hain. Western Naval Command Ne Young Para Swimmer Ko Unki Achievement Ke Liye Congratulate Kiya.
Western Naval Command Ne X ( Pahle Twitter) Pe Likha, “WNC Le Sabhi Personnel Jiya Rai Ko English Channel Ko Akele Successfully Cross Karne Wali World Ki Youngest And Fastest Para Swimmer Banne Pe Badhai Dete Hain.”
WNC Ne Kaha, “Jiya, Autism Spectrum Disorder Se Suffer Kar Rahi 16 Saal Ki Ladki Hain, Jo Mumbai Me Serve Kar Rahe MC-At-Arms Madan Rai Ki Beti Hain. Unke Naam Kai Inspiring Achievements Hain, Jisme Pahle Palk Bay Ko Tairkar Cross Karna Bhi Shaamil Hai.”
Apni Disabilities Ke Baad Bhi Jiya Seven Oceans Ko Swim Karne Wali World Ki First And Youngest Para Swimmer Banne Ke Mission Pe Hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi