Agar Ap Bilkul New Hai Swimming Pool Me To Sbse Pehle Swimming Ki Basic Techniques Ko Samjhna Zaroori Ho Jata Hai Ek Baar Basic Technique Ko Samjhne Ke Bad Ap Swimming Pool Me Aap Jyada Relax Mehsoos Kerenge. Ye Article Swimming Ke Vo Sare Basic Technique Ko Jaanne Me Madad Kerega.
- Pani Ke Sath Balance Bnana
- Kick Kerne Ka Shi Tarika
- Gliding Ka Shi Terika
Paani Ke Sath Balance Aur Floting:-
Isko Seekhne Se Pehle Hume Pani Ka Dar Apne Man Se Nikal Dena Cahiye Aur Swimming Pool Me Kuch Din Tk Pani Me Idhar Udhar Chalne Se Pani Ka Dar Nikala Ja Sekta Hai Balance Bnane Ke Liye Apko 2-3 Din Tk Lgataar Kick Board Pr Exercise Kerni Hogi Shuru Me To Apko Dikkat Hogi Lekin Dheere Dheere Apka Balance Ban Jayga To Kick Board Ka Ek Aur Fayda Hai Balance Ke Sath Sath Ye Apko Streamline Position Rehne Me Bhi Help Kerega.
Kick:-
Agar Apko Shi Kick Kerna Aa Gya To Ap Swimming Jaldi Sikh Lenge Kick Kerne Ka Matlab Ye Bilkul Nhi Hota Ki Ap Pani Ke Surface Pe Kitni Jor Se Apne Legs Ko Patke Kyuki Aksar Ye Dekhne Ko Milta Hai Ki Jo New Students Hote Hai Vo Apne Pair To Pani Se 8-10 Cm Tk Nikal Kr Pani Pr Patkte Hai Jo Ki Bilkul Galat Hai Aisa Kerne Pr Sirf Apki Body Thakegi Aur Sayad Hi New Swimmer Aage Ki Or Swimming Kr Paynga.
Gliding :-
Gliding Se He Swimming Kerte Wqt Body Aage Ki Or Move Hoti Hai Aur Isko Shi Se Jaanne Ke Baad Swimming Me Dheere Dheere Speed Ka Improvement Keraya Jata Hai Gliding Me Improvement Lane Ke Liye Apko Pehle Upar Diye Gye Sare Points Pr Achhi Pakad Bnani Hogi Uske Baad He Apko Gliding Ko Shi Tarike Se Use Kerne Me Aasani Hogi
Ye The Kuch Behaad Hi Basic Points Jo Ki Kisi Bhi New Swimmer Ko Swimming Sikhne Me Help Krte Hai.
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega