Is Topic Par Kafi Lambe Time Se Baate Ho Rahi Hai Ki Head Ki Kon Si Position Jyada Faydemand Hai. Elite Competition Me Ham Dono Tarah Ke Swimmers Ko Dekhte Hai Jo Ya To Apne Head Ko Thoda Aage Ki Or Tilt Kiye Rhte Hai Ya Fir Head Ko Down Kiye Rhte Hai. Lekin Ye Dono To Sahi Nahi Ho Sakte, To Kon Si Position Best Hai Usko Aaj Ham Janne Ki Kosis Krenge.
Olympic Champion Jimmy Feigen Ne Ispar Answer Dete Hue Btaya Ki, Is Controversy Ka Answer Janne Ke Liye Jimmy Ko Velocity Meter Ke Sath Test Kiya Gaya Tha Jisme Unhone 20m Distance Ko 100m Race Pace Ke Sath Karya Gaya. Jisme Phli Baar Head Down Kar Ke Swim Karna Tha And 2nd Time Head Ko Aage Ki Direction Me Thoda Tilt Karke Swim Karna Tha.
To Uska Jo Results Aya Wo Kuch Iss Tarah Ka Tha:
Head Down Position, Forward Tilt Position Se 0.02m/Sec Faster Tha. Ye Ho Skta Hai Ki Aako Kafi Kam Change Dikh Raha Ho Lekin Itne Hi Difference Se Race Ko Jeeta Or Hara Ja Skta Hai.
Agar Ham Dono Head Position Par Thoda Dhyan De To Hame Pta Chal Jayega Ki Ye Difference Kyu Aya.
Ham Jante Hai Jab Swimmer Apne Head Ko Down Karta Hai (Water Ke Parallel) Rakhta Hai To Uske Head Se Bnne Wala Water Drag Kafi Kam Rhta Hai Jabki Agar Wo Apne Head Ko Forward Tilt Karke Swim Karta Hai To Uske Head Se Kuch Amount Me Drag Banta Hai And Uske Dono Time Me Kuch Fractions Ka Difference aa Jata Hai.
News, Tips and Workout Ke Liye Aap SwimSwam Hindi Ko Visit Karte Rahe And Facebook Par Bhi SwimSwam Hindi Ko Like Kar Le.
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi