47 Saal Ki Shyamala Goli Duniya Ki Dusri Aisi Women Ban Gayi Hai Jinhone 30km Long Palk Strait Jo Ki Sri Lanka And India Ke Beech Hai Usko Swim Krke Par Kiya Hai. Shyamala Goli Hyderabad Ki Rahne Wali Hai And Unhone Iss Swim Ko Friday Ko Complete Kiya.
Shyamala Goli Ne Apni Iss Swim Ko 13hr And 43min Me Complete Kiya. Unhone Is Journey Ki Shuruwat Kuch Saal Phle Kari Thi Jab Wo Apne Pani Ke Dar (Aquaphobia) Se Ubhar Rahi Thi. Shyamala Goli Hyderabad Me Play School Chlati Hai.
Shyamala Goli Ne News18 Ko Call Par Btaya Ki “Sri Lanka Ka Pani Bohot Hi Shant Tha Jisme Mujhe Swim Krne Me Koi Pareshani Nahi Hui Jabki Indian Water Me Kafi Lahre Aana Shuru Ho Gyi Thi Jisse Mujhe Swim Krne Me Thodi Dikkato Ka Samna Karna Pda And Jiski Wajah Se Mujhe 30-Miles Ko Complete Krne Me Extra 90mins Lag Gye”
Shyamala Goli Last Year Bhi Iss Swim Ko Krne Ke Liye Bilkul Tyar Thi Lekin Swim Ke Just Ek Din Phle Sri Lanka Me Lockdown Lag Gya Jiske Karan Shyamala Goli Ko Apni Swim Ko Aage Ke Liye Postpone Karna Pda.
Shyamala Goli Ne Apni Training Senior IPS Officer Rajiv Trivedi Ke Under Me Compete Kri Jinhone Past Me Palk Strait Ko Paar Kiya Hai.
Indian Swimming Federation Ne Ek Observer Bhi Bheja Tha Taki Iss Swim Ko Verify And Certify Kiya Ja Sake.
Shyamala Goli Ka Manna Hai Ki Unki Is Achievement Se India And Sri Lanka Ko Apne Relationship Ko Or Majbuut Krne Me Madad Milegi.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.