Hello Swimmers, Aaj Ke Article Me Mai Kuch Aise Points Ko Share Karunga Jo Aane Wale Age Group Competition(35th Glenmark Sub-juinor National and 45th Glenmark Juinor National) Me Swimmers Ke Kafi Help Krega And Unko Apne Competition Me Apni Peak Performance Tak Pahuchne Me Help Krega.
Jaisa Ki Ham Sab Jante Hai Ki Age Group Me Har Year Hme New Talent Dekhne Ko Milta Hai Lekin Uske Alwa Bhi Kuch Aise Swimmers Hote Hai Jo Apni Performance Puri Nahi De Pate Hai Apne Phle Hi Competition Me Demotivate Ho Jate Hai, To Agar Aap Ka Ye Phla Competition Hai To Iss Article Me Btayi Hui Sari Baato Ko Ache Se Yaad Kr Le.
25m Ya 50m Pool Soch Kar Mat Jao
Agar Aap Ne Iske Phle Kbhi 50m Ke Pool Me Swimming Nahi Kiya Hai To Aap Ho Skta Hai First Time 50m Ke Pool Ko Dekhne Ke Baad Thoda Dar Jaye, Lekin Agar Aap Ye Soch Kar Jayenge Ki Aapne Swimming Har Situation Ke Liye Sikhi Hai Isliye Ye Fark Nahi Pdta Ki Pool 25m Ka Hai Ya 50m Ka Lekin Agar Apko Fir Bhi Thodi Nervousness Ho Rhi Hai To Aap First Day Jakr 50m Pool Me Warmup Ache Se Kare Taki Aapko Uss Pool Me Normal Lgne Lge.
First Target Small Rkho
Agar Aapka Ye First Competiton Hai To Aap Ek Chota Target Lekar Jao Ki Aapko Apne Practice Time Se Best Time Krna Hai. Isse Kya Hoga Ki Jab Aap Isme Successful Ho Jayenge To Aap Ko Ek Self Satisfaction Milega And Ye Self Satisfaction Aapko Next Target Ko Achieve Karne Me Kafi Help Krega. Lekin Agar Ye Apka 2nd Ya Third Time Hai Competition Ka To Aap Iss Baar Top 3 Ke Liye Race Kro.
Warm-Up Me Limited Chiz Hi Kro
Competition Me Jo Warm-Up Time Milta Hai Usme Maine Dekha Hai Ki Swimmers 200m Normal Free Karne Ke Baad Sprints Karte Hai Ya Fir IM Krte Hai But Isse Apko Utna Fayda Nahi Milega Jitna Aap Warmup Me Drills Krke Paa Skte Hai. Kyuki Aapko Bhi Pta Hai Ki Aapne Practice Kafi Ki Hai And Apka Endurance Bhi Hai. To Aap Warmup Time Me Faltu Ke 20 Rounds Krne Ke Accha Drills Ko Kre.
Ap Warm-Up Me Phle Normal Freestyle Kre Then Uske Baad Aap Wo Wo Drills Kre Jo Apke Aane Wale Events Se Related Ho, Isse Kya Hoga Ki Aapki Utni Energy Bhi Nahi Waste Hogi And Aap Apne Pull, Streamline Inn Sabko Race Ke Phle Analyze Kar Payeng.
Dusre Swimmers Ke Bare Me Mat Socho
Ye Point Kafi Jyada Important Mai Manta Hu Kyuki Yaha Par Kafi Swimmers Galti Karte Hai And Race Ke Phle Hi Haar Maan Jate Hai. Aisa Isliye Hota Hai Kyuki Aapne Kahi Suna Hota Hai Ya Koi Aapko Bta Raha Hota Hai Ki Ye – Ye Swimmers Best Swimmers Hai And Uske Baad Apka Mind Race Ke Liye Inactive Hone Lgta Hai Jisse Apki Performance Down Hone Lagti Hai. Isliye Aap Bas Khud Par Focus Kre, Dusre Swimmers Ne Kya Practice Kiya Hai Wo Aapko Nahi Malum And Same Chiz Unn Swimmers Ko Bhi Nahi Pta Ki Apne Kya Practice Ki Hai. Isliye Mentally Strong Rho And Competition Ke Baad Hi Kisi Dusre Swimmer Se Milo.
Race Strategy
Race Ke Phle Race Ki Sare Strategy Bnao Means Jo Distance Race Hoti Hai 200,400,800,1500m Ki Usme Race Ko Kuch Parts Me Divide Kar Lo And Kis Part Me Apko Kitni Speed Se Swim Karna Hai Wo Decide Kar Lo Kyuki Agar Apke Shuru Me Hi Apni 100% Speed De Di To Ho Skta Hai Aap Phle 100m Aage Ho Lekin Finishing Krte Krte Aap 6th Ya 7th Par Pahuch Jaye. Isliye Race Strategy Important Hai.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
- Telegram: SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega