You are working on Staging1

Goa Ki Swimming Queen Talasha Prabhu 4 Saal Baad Firse Pool Me Najar Aayengi

Braden Keith
by Braden Keith 0

August 11th, 2019 Hindi

4 Saal Baad, Goa Ki Swimming Queen Ne Phir Se Padak Ka Lakshay Rakha.
Toi Ki News Ke Anusar Talasha Prabhu Ek Baar Fir Swimming Me Apne Career Ko Naya Mod Dene Ke Liye Wapas Aa Chuki Hai. Talasha Prabhu Ne 2003 Mein Competitive Swimming Karne Ke Baad Se Sabhi Levels Par 171 Gold Medals Jeete Hai, Lekin Khel Se Break Lene Ke 4 Saal Baad Unka Agla Medal Sabse Adhik Faydemand Hoga.

Yah Agle Month Ki Starting Mein Ho Sakta Hai Jab Wo Bhopal Mein Seniour National Aquatic Championship Mein Participate Karengi. Isme Aur Bhi Time Lag Sakta Hai Ya Phir Aisa Kabhi Ho Bhi Nahi Sakta Hai.

2009 Se 2013 Tak Jo India Ki Sabse Fast Women Swimmer Thi,Unhone 5 International Medals Jeete Aur Time Par Jeet Haasil Ki,Jisme Keval Ek Ladies Swimmer- Shikha Tondon Ka Ateet Badhiya Raha Hai,Podium Par Finish Karne Ki Unki Capability Ke Bare Mein Sawaal Ajeeb Se Lagte Sakte Hai. Lekin Goa Ke Tairak Ko Pata Hai Ki Waapsi Kabhi Aasan Nahi Hoti Aur 4 Saal Tak Khel Se Dur Rahne Par Baadhao Ko Hrana Hoga.

“Mai Sirf Racing Arena Mein Pair Rakhna Chahti Hu Aur Dekhna Chahti Hu Ki Ye Mujhe Kaha Tak Le Jaati Hai.4 Saal Ka Break Lene Ke Baad Maine Apne Coach Surajjit Ganguly Ke Saath Pichle 7 Months Mein Imandaari Ke Saath Kadi Mehnat Ki Haiaur Mai Kam Se Kam Apna Best Time Dene Ki Ummeed Kar Rahi Hu.” Talasha Ne Kaha.

26 Years Ki Talasha,Keval 2 Events-50m Freestyle Aur 50m Butterfly Mein National Level Par Compete Karengi Aur Wah Samay Prapt Karne Ke Kareeb Pahoch Rahi Hai Jo Unhe Phir Se India Ke Best Swimmers Ki List Mein Shaamil Kar Dega.

Past Mein, Unhone Olympic Mein Qualifier Ke Dauraan 26.90 Second Mein 50m Freestyle Complete Kar Liya Tha,Jab Wah London 2012 Ki Bus Se Ek Ansh Se Miss Kar Di Thi.Aur Yaha Trial Ke Time 27.04 Second Ki Unki Timing Ne Sabhi Ko Phir Se Best Hone Ki Ummeed Chhod Di Hai.

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule  Swimswamhindi

Join Us:-

Facebook► Swimswam Hindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »