You are working on Staging1

Grimes Ki Olympic Swimming Trials Performance, 3 Saal Ki Bachchi Dubi

Grimes Ne Us Olympic Swimming Trials Me Weyant Ko Haraya 

Grimes Ne Shaandar Shuruwat Ki, Lekin Maujooda Olympic Silver Medalist Weyant Ne Apna Move Aage Badhaya, Jisse Lucas Oil Stadium Me Maujood Hajaron Swimming Fans Ne Taaliyan Bajakar Unka Swagat Kiya.

Katie Grimes Ne Monday Ko Indianapolis Me Us Olympic Trials Ki 3rd Night Ko Khele Ja Rahe 5 Finals Me Se Pahle Me Thrilling 400m Individual Medley Me Emma Weyant Ko Haraya.

Grimes Ne Shandar Shuruat Ki, Lekin Maujooda Olympic Silver Medalist Weyant Ne Apna Move Aage Badhaya, Jabki Lucas Oil Stadium Me Maujood Hajaron Swimming Fans Ne Unka Utsaah Badhaya.

18 Saal Ki Grimes Ne Iss Tough Competition Me 4:35.00 Ke Time Ke Saath Pahle Wall Ko Touch Kar Ke Weyant And Lilla Bognar Ko Pichhe Chhod Diya.

“ Mujhe Pata Tha Ki Mera Backstroke Thik Tha Aur Jab Main Breaststroke Ke Liye Wall Ke Pichhe Mudi Toh Maine Bas Itna Kaha Ki Pichhe Mat Dekho, Bagal Me Mat Dekho,” Usne Pool Ke Kinare Kaha.

“Mujhe Pata Tha Ki Jab Tak Main Emma Ke Saath Wall Ko Touch Karti Rahungi, Main Uske Saath Whan Tik Paungi, Isliye Main Bas Khatam Karne Ki Koshish Kar Rahi Thi.”

Grimes Jo Tokyo Khelon Me American Team Ki Sabse Kam Age Ki Member Thi, Pahle Se Hi Open Water Me Paris Games Ke Liye Qualify Kar Chuki Hain Aur Ab Unhe Pool Me Bhi Jagah Milegi.

Nfm Ke Andar Trials 1st Time Held Kiye Ja Rahe Hain Aur Competition Ke 9 Days Ke Liye Ise World Ke Sabse Bade Natatorium Me Transform Kar Diya Gaya Hai.

Lucas Oil Stadium Indianapolis Colts Ka Ghar Hai Aur Isne Swimming Competition Dekhne Ke Liye Sabse Badi Sankhya Me Audience Ka Record Banaya Hai.

 

Rajkot Residential Society Ke Swimming Pool Me 3 Saal Ki Bachchiyon Ki Doobne Se Maut

Dono Bachchiyan Nepal Ke Naagrikon Ki Betiyan Thi, Jo Rajkot Me Residential Society Ke Gatekeeper Ke Roop Me Kaam Karte The.

Rajkot Ke Posh Gangotri Park Me Sunday Ki Der Shaam Ak Residential Society Ke Swimming Pool Me Galti Se Girne Se 3 Saal Ki 2 Ladkiyan Doob Gayi.

University Police Ne Bataya Ki Ye Incident Sunday Ko Around 9 Pm Hui, Jab Do Ladkiyan- Jinki Pahchan Prakriti Chand Aur Menuka Singh Ke Roop Me Hui- Ak Upmarket Residential Society Shilpan Onyx Ke Swimming Pool Me Gir Gayi Aur Doob Gayi.

Rajkot Shahar Police Ke University Police Station Ke In Charge, Police Inspector Chirag Jadhav Ne Monday Ko The Indian Express Ko Bataya, “Dono Ladkiyan Pool Ke Pass Khelte Samay Galti Se Swimming Pool Me Gir Gayi.”

Unhone Aage Kaha,“Jab We Kuchh Samay Tak Apne Quarter Ke Pass Nahi Dikhi Toh Parents Ne Unko Dhundna Start Kar Diya. Evenually, We Swimming Pool Me Tairti Hui Paai Gayi.”

Gandhigram Police Station Ke Police Sub-Inspector D R Ratnu Ne Bataya, “Dono Ladkiyon Ko State Government Dwara Sanchit Zanana Hospital Le Jaya Gaya, Jahan Unhe Dead Declare Kar Diya Gaya.” Unhone Bataya Ki Prakriti Aur Menuka Nepal Ke Citizens Gokul Chand Aur Prakash Singh Ki Daughters Thi, Jo Society Me High-Rise Buildings Kr Gatekeeper Ke Taur Pe Kaam Karte Hain.

Shilpan Onyx Society Ke Residents Me Se Ak Harshal Sevak Ne Kaha Ki Ye Incident Tab Hui Jab Society Ke Members, Jo Society Ke Common Area Me The, Raat Ke Kareeb 9:30 Pm In-House Movie Theatre Me Gaye The.

Sewak Ne Media Ko Bataya, “Ladkiyon Me Se Ak Swimming Pool Me Tairti Hui Paai Gayi. Use Turant Bahar Nikala Gaya Aur Emergency Services Ko Bulaya Gaya. Baad Me Pool Me Kapde Ke Tukde Jaise Koi Cheez Dekhi Gayi, Aur Ye Clear Ho Gaya Ki Ak Aur Ladki Bhi Pool Me Doob Gayi Thi.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »