Swimming Ek Aisa Sport Hai Jisme Swimmers Ko Unki Bodies Ko Water Bodies Ke Across Move Karna Hota Hai. Ye Team Event Bhi Ho Sakta Hai Aur Individual Sport Bhi Ho Sakta Hai. Swimming Water Bodies Jaise Ki Pools, Lakes, Etc Mei Hota Hai Aur Isme Various Techniques Jaise Ki Backstroke, Butterfly, Freestyle Aur Breaststroke Involve Hoti Hai. Olympics Mein Bhi Ye Bahot Popular Sport Hai. Halaki, Swimming Sirf Olympics Tak Limited Nahi Hai. Paralympics Mein Bhi Swimming Kaafi Popular Hai. Aaiye Jaante Hai India Ke Top-5 Para-Swimmers Ke Bare Mein.
Sharath Gayakwad:
Jab Bhi Hum Indian Para Swimmers Ke Bare Mein Baat Krte Hai Toh First Name Jo Hamare Mind Mein Pop Hota Hai Wo Hai Banglore, Karnataka Se Aane Wale Para Swimmer Sharath Gayakwad Ka. Apne Naam Ke Saamne Kai Saare Records Banaye Hai Inhone . 2014 Asian Games Mein Toh Inhone Multiple-Event Global Event Mein 6 Medal Jeet Kar P.T. Usha Ke Record Ko Break Kar Diya. P.T. Usha Ne 5 Medals Jeete The.Inke Paas 70 Se Jyada National Aur International Events Hai.Aur Ye First Indian Swimmer Hai Jinhone Paralympics Ke Liye Qualify Kiya Tha, Aur 2012 London Olympics Mein Country Ko Represent Bhi Kiya Tha. Unhe Unki Achievements Ke Liye Arjuna Award Bhi Diya Gaya Tha.
Suyash Jadhav:
Next Swimmer Hai Suyash Jadhav. 2004 Mein Huye Ek Electric Accident Ki Wajah Se Inhone Apna Dono Haath Kho Diya Tha. Ye First Indian Para Swimmer Bane The Jinhone ‘A’ Qualifying Mark Ke Sath 2016 Rio Paralympics Mein Qualify Kiya Tha.
Niranjan Mukundan:
Spina Bifida (Split Spine) Ke Sath Born Huye, Niranjan Ne Ise Apni Limit Nhi Banne Di. Niranjan First Para Athlete Bane Jinhe 2015 Mein Junior World Champion Ka Award Mila.Unhone Kai Saare Competitions Aur Events Jeete.
Vishwas KS:
Inhone Bhi Electrocution Ki Wajah Se Apne Dono Haath Kho Diye The Wo Bhi 10 Years Ki Age Mein Hi, Vishwas Ne Give Up Nhi Kiya Aur Hard Work Karke Success Achieve Kiye.Inhone Three Medals Jeet Kar Apne Mettle Ko Prove Bhi Kiya 2016 Mein Canada Mein Huye Can-Sam Para- Swimming Competition Mein.
Murlikant Petkar:
Ye India Ke First Paralympic Gold-Medallist Hai. 1972 Mein Germany Mein Huye Paralympics Mein Inhone Gold Medal Jeeta Tha. 50m Freestyle Event Mein Bhi Inhone World Record Banaya Tha.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi