“Maan Me Agar Jeet Ki Chah Ho To Har Muskil Se Pare Sirf Jeet Hi Najar Aati Hai”.
Minsk, Belarus Me Hui Belgart Swimming Marathon Me India Ka Name Meenakshi Pahuja Ki Jeet Ke Sath Golden Ho Gya. Meenakshi Phli Female Swimmer Hai Jinhone Belgart Marathon Me Participate Kar Ke India Ka Naam Roshan Kar Diya. Ye Competition Minsk, Belarus Me Saturday Ko Hua Tha. Komo Somal Lake Ke 11 Degree Temperature Ke Water Me 2km Ki Race Hui Thi Jisme India Ke Meenakshi Ne Jeet Apne Name Ki, Bhle Hi Competition Tough Tha Lekin Meenakshi Ke Hard Work Ne Tough Competition Ke Bawjud Gold Medal Jeet Ke Dikha Diya. Or Isi Jeet Ke Sath Meenakshi Ne Kaha Ki “Ye Sirf Ek Shuruwaat Hai”.
India Me Meenakshi Jal Pari Ke Name Se Jani Jati Hai Or Delhi University Ke Lady Shri Ram College Me Assistance Professor Ki Job Karti Hai.
Sirf 6 Month Ki Age Me Meenakshi Ne Phli Baar Swimming Pool Me Utri Thi, Or Phla State Medal Meenakshi Ne 3 Saal Or Phla National Medal 6 Saal Ki Umr Me National Junior Championships Me Jeeta Tha. 1987 Se 2001 Tak Meenakshi Ne Lagatar 13 Saal National Level Par Medals Jeete. 2010 Me 5 Din Me 5 Lake Swimming Kar Ke Paar Karne Ke Sath Meenakshi Record Banaya.
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega