Hamari country ne kai saare sport disciplines mei medal jeeta hai. Par diving rarely hi kabhi us list ka part bann pai hai.
Par in 14-year-old ne entry le li hai sab kuch change karne ke liye. Aur inka naam hai Palak Sharma. Sirf 14 ki age mei hi ye India ki top ranked diver bann gai hai. Palak first Indian female diver hai jinhone Asian age group diving championship mei gold medal jeeta hai. 2021 mei wo Senior national champion bhi rah chuki hai. Usi same year mei hi Palak ko Pradhan Mantri Rashtriya Bal Puruskar se bhi nawaza gaya tha.
Diving ke sport mei apni exceptional abilities aur outstanding accomplishments ki wajah se Palak ne young age se hi interest developed kiya tha sports ki taraf. 8 saal ki age se hi unhone diving start kar di thi.Rigorous training aur practice ke through unhone exceptionally perform kiya. Palak multiple national tournaments mei participate kar chuki hai aur apni tally mei 12 gold aur 4 silver medals add kar chuki hai. Unka ultimate goal hai ki apne country ke liye gold medal jeet kar aaye. India mei diving ka sport shayad hi kbhi limelight mei raha hai. Infact jyadatar logon ko pata bhi nhi hai ki diving ek Olympic sport bhi hai. But hamare young divers ab is chiz ko change karne mei lag gaye hai, aur future mei jaldi hi Olympics mei India ko represent bhi karenge.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi