Ministry Of Home Affairs(MHA) Dwara Di Gyi Latest COVID Guidelines Me Indian Swimmers Ke Liye Bahut Badi Khuskhabri Hai Kyuki Is Guidelines Me India Ke Sabhi Pool Ko Open Hone Ke Alawa Public Ko Bhi Jane Ki Permission Hai.
Ab Swimming Pools Sabhi Ke Liye Open Ho Jayenge Jiske Liye Ministry Of Youth Affairs & Sports (MoYA&S) Ko MHA Ke Sath Consult Krke Ek Revised SOP Ko Jari Karna Hai.
State/UT Governments Ko Sare Necessary Measures Lene Ke Liye Bhi Kaha Gya Hai Kyuki COVID Ke Cases Abhi Bhi Puri Tarah Se Kam Nhi Hue Hai. Face Masks, Hand Hygiene And Social Distancing Par Pura Dhyan Diye Jane Par Bhi Kaha Gya Hai.
Abhi Tak Jo Bhi Pools Open The Wo Sirf Competitive Swimmers Ke Liye Open Kiye Gye The Lekin Ab Pools Ko Public Ke Liye Bhi Allow Kar Diya Jayega.
Is Guidelines Ke Baad Swimmers Ke Beech Kafi Rahat Mahsus Ki Ja Rhi Hai Kyuki Pichle Lagbhag 1 Saal Se Swimmers Apne Pool Ko Touch Bhi Nahi Kar Paye The Lekin Ab Aane Swimmers Firse Apni Practice Kar Sakenge And Isi Ke Sath Ab Swimmers Ko Ye Bhi Umeed Hai Ki Jald Hi Swimming Competitions Ke Liye Bhi Allow Kar Diya Jayega.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.