Fake Document Dikha Kar Swimming Karne Aata Tha Ye Ladka
Ye Baat Hai Nagpur Ke Ambazari, Nasapura Mein Bane Olympic Sized Swimming Pool Ki. Play Store Se Ek App Download Kar K Eek Ladke Ne Fake Id Card Banaya Aur Usi Card Ki Help Se Daily Swimming Pool Bhi Aane Laga Tha. Kuch Din Toh Management Ne Utna Dhyan Nhi Diya Par Jab Management Ko Pata Chala Is Bare Mein Toh Unhone Us Ladke Par Fine Lagaya Aur Use Warning Diya Ki Dobara Aisa Mat Karna Warna Legal Action Liya Jayega.
“Iska Purpose Profit Banana Nhi Hai. Ek Swimming Pool Isliye Run Kiya Jaata Hai Taaki Us City Ke Swimmers Ko Swimming Facilities Mil Sakein. Ye Facility Unhe Modest Cost Par Provide Ki Jaati Hai.Uske Baad Bhi Aisa Kuch Saamne Aata Hai. Ab Aisa Kuch Hota Hai Toh Legal Action Liya Jayega, Midland Sports And Wellness Pvt. Ltd. Ke Managing Director Prashant Ugemuge Ne Kaha.
Divyango Ko Boost Karne Ke Liye Kashmir Se Kanyakumari Tak Cover Karenge Para Swimmer Satendra Singh
International Para Swimmer Satendra Singh Lohia Kashmir Se Le Kar Ke Kanyakumari Tak Jiska Distance Hai 3450 Km Ki Bike Journey Karne Wale Hai. Ye Bike Journey 14th April Se Start Hogi Baba Bhimrao Ambedkar Ki Birth Anniversary Par. Satendra Ka Aim Hai Ki Specially-Abled People Ke Beech Awareness Raise Karein Sports Ke Bare Mein Aur Unhe Inspire Karein Participate Krne Ke Liye Aur Apni Abilities Ki Respect Krne Ke Liye. Ye Journey 27 Days Tak Chalegi Aur India Mei Kisi Especially Ables Sportsperson Ke Dwara Ye Pahli Baar Aisa Kuch Hone Jaa Rha Hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi