Former Indian Swimmer Khajan Singh Tokas Chahte Hai Ki Hone Wale Hangzhou 2022 Asian Games Mei Country Pool Mei Medal Lane Par Focus Kare, Aisa Unhone Performance Mei Huye Recent Upturn Ko Dekhte Huye Kaha Hai.
Dono Hi Sajan Prakash Men’s 200m Butterfly Mei Aur Srihari Nataraj Men’s 100m Backstroke Mei Tokyo 2020 Ke Liye Olympic Qualifying “A” Standard Achieve Kar Liya Hai. Ye Ek Aisa Improvement Hai India Ke Liye Jo Ki Normally Excel Nahi Hota Hai Swimming Mei.
Maana Patel Bhi Universality Quota Place Gain Karne Ke Baad Japan Ke Capital Mei Hone Wale Women’s 100m Backstroke Mei Compete Karengi, But Iske Baad Bhi Shayad Kisi Bhi Event Mei Success Ke Liye Tokyo 2020 Kuch Jaldi Hi Aa Gaya Hai.
India Ne Swimming Mei Kabhi Bhi Olympic Medal Nhi Jeeta Hai Aur Tokas, Jinhone Silver Medal Jeeta Tha 200m Butterfly Event Mei 1986 Seoul Mei Huye Asian Games Mei, Unhe Bharosa Hai Ki Hangzhou 2022 Ek Realistic Target Hai.
“Mai Strongly Feel Karta Hun Ki Tokyo Olympics Hamare Liye Aaj Real Target Nhi Hai,” 57-Year-Old Swimmer Ne Sportskeeda Se Kaha.
“Maybe, Aane Wale 4-6 Years Mei Hum Log Olympics Mei Medal Lane Ka Soch Sakte Hai.”
Three Swimmers Jo Ki Olympic Games Ke Liye Qualify Kar Chuke Hai Ye Ek Positive Sign Hai Ki India Ab Hangzhou, China Mei Hone Wale 2022 Asian Games Ko Target Kar Sakta Hai.
“India Mei 8-10 Swimmers Aise Hai Jo Ki Excellent Perform Kar Rahe Hai. “Agar Unhe Best Training Facilities Provide Ki Jaaye Toh, Mai 100 Percent Sure Hun Ki Indian Swimmers Isse Bhi Bahot Accha Perform Kar Sakte Hai Asian Games Mei.
Tokyo Olympics Ke Liye ‘A’ Standard Achieve Kar Ke In Three Swimmers Ne Others Swimmers Ke Mann Ka Barrier Bhi Break Kar Diya Hai, Isse Aur Sabhi Swimmers Ko Bahot Motivation Milega.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.