Last four Olympic games se bhi jyada mei, Michael Phelps ne itne saare medals jeete hai ki kai logo ko lag sakta hai ki Olympic mei multiple medals jeetna koi difficulty task nhi hai.
Par ye jitna easy lag sakta hai utna hota nhi hai. Especially jab hum individual events mei gold medal ki baat karte hai to.
Instagram ke swimming stats page ne individual events mei jin swimmers ke paas sabse jyada gold medals hai unki list publish ki. Phelps is list mei sabse aage the, 13 medals ke saath. But Phelps ke pahle sirf ek swimmer ne Olympics mei 5 gold medals jeeta tha. Kuch ke liye to four aur five gold medals jeetna bhi kisi task se kam nhi hai.
Agar sirf individual events ki baat kare to, almost 8000 athletes Olympic games ke sirf us ek event mei participate karte hai. Usme se sirf 327 ne hi kam se kam ek gold medal jeeta hai. 93 swimmers ne multiple medals jeeta hai aur sirf 12 swimmers hi aise hai jinhone 4 ya use jyada medals jeete hai.
Chaliye kuch samay ke liye Phelps ko bhul jaate hai. Hungary ke Krisztina Egerszegi ne 1988,1992 aur 1996 Olympics ke individual events mei 5 gold medals jeeta tha- 200 back 1988 mei, 100, 200 back aur 400 IM 1992 mei, 200 back 1996 mei- ye ek aisa record the jise kai years se kisi bhi swimmer ne break nhi kiya tha sirf Phelps hi aise swimmer hai jinhone is record ko surpass kiya.
Phelps aur Egerszegi ke alawa, 10 swimming legends aise hai jinhone 4 ya use jyada Olympic medals jeeta hai individual events mei. Inme se 2 aise hai jinhone single edition mei hi wo 4 gold medals jeete the.
Mark Spitz, Kristin Otto, Roland Matthes, Tamas Darnyi, Alexander Popov, Yana Klochkova aur Kosuke Kitajima ne 2 Olympics mei double gold jeeta. Janet Evans, Inge de Brujin aur Katie Ledecky ne ek Olympic mei hi 3 gold medal aur agle mei ek gold medal jeeta.
Jab kabhi future mei aap kisi swimmer ko individual event mei apna 4th gold medal jeette huye dekhe to aap jarur kisi swimming legend ko hi dekh rahe honge.
Katinka Hosszu ne 3 gold medals jeeta hai, aur agar wo Tokyo Olympics mei 2 ya use jyada medals apne naam karti hai to wo Egerszegi ko surpass kar jayengi.
Katie Ledecky ko sirf 2 individual events jeetne ki jarurat hai 2nd spot par pahochne ke liye. Agar wo aisa kar leti hai toh unke paas 8 gold medal ho jayega individual event mei. 20 saal pahle is feat ko impossible maana jaata tha. Aisa isliye kyu ki Olympic games ko kisi swimmer(Krisztina Egersxegi) ko 5 gold medals jeette huye dekhne ke liye 100 saal lage. Michael Phelps, Katie Ledecky, aur Katnika Hosszu jaise swimmers sach mei is baar ko raise kar rahe hai.
Kisi ne point out kiya hai ki aisa swimmer iske paas ek bhi Olympic gold medals nhi hai wo sirf five medals piche hai second spot par aane ke liye aur sirf 8 medals piche hai Michael Phelps se. Isliye last se 2nd par move karna easier hota hai second se first par move karne se.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.