TOI Par Nikli Indian Swimmer Annie Jain Ki News, Nepal Mein Chal Rahe 13th South Asian Games Mein Indore Ki Swimmer Annie Jain Ne 4*100m Freestyle Relay Mein India Ke Liye Gold Medal Jeeta. Yah Madhya Pradesh Ke Liye 2nd Gold Medal Tha Isse Pahle Ki Bhopal Ki Latika Ne Taekwondo Mein Gold Medal Jeeta Tha.
Annie Jain, Jo Ki Khelo India Games 2018 Ki Star Swimmer Rah Chuki Hai. Unhone Apni Kabiliyat Ko Duniya Ke Saamne Phir Se Pesh Kiya. Unke Sath Unki Team Mein Jo Aur Bhi Members The Wo The Manna Patel, Divya Satija Aur Shivangi Sharma. Annie Jain Ke Dwara Team Ko Starting Hi Bahot Acchi Mili Thi Jiski Wajah Se Indian Team Ne Aasani Se Gold Medal Jeet Kar Apne Naam Kiya. 3:55.17 Timing Ke Saath India Ne Gold Medal Jeeta. 4:00.18 Timing Ke Saath Srilanka Ne Silver Medal Jeeta Aur 4:07.97 Timing Ke Saath Nepal Ne Bronze Medal Apne Naam Kiya.
Isi Saal, Annie Ne June Mein Rajkot Mein Organized 46th Junior Glenmark National Aquatic Championships 2019 Mein Girls 50m Breaststroke Event Mein New Junior National Record Set Kiya Tha.
Baat 2010 Ki Hai Jab Annie Sirf 8 Saal Kit Hi Aur Isi Age Mein Unke Father Ne Unhe Is Sports Se Introduce Karaya Tha Aur Tab Se Hi Wo Swimming Sikh Rahi Hai.
Annie Jain, India Ke Promising Swimmers Mein Se Ek Hai. Iske Piche Unka Dedication Aur Hardwork Hai. Annie Har Roz 6 Ghante Training Karti Hai.
Khelo India School Games 2018 Mein Annie Ne 6 Medals Jeete. Jisme Se 4 Gold Medals The Jo Unhone 100m Freestyle, 50m Breaststroke, 100m Medley Relay Aur 100m Freestyle Relay Mein Jeete The. Unhone 200m Freestyle Mein Silver Medal Sur 50m Freestyle Mein Bronze Medal Jeeta Tha.
Annie Jain Ko Congratulate Karte Huye Mp Swimming Association Ke Ram Kumar Khilrani Aur President Piyush Sharma Ne Kaha, “Annie Ek Promising Swimmer Hai. Hum Confident Hai Ki Wo Country Ke Liye Gold Medal Jarur Jeetengi. Mujhe Lagta Hai Ki Is Saal Hone Wale Saf Games Mein Wo 3 Medals Jarur Jeetengi”. Advait Page Aur Annie Jain Apne State Ko International Level Par Proud Feel Kara Rahe Hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi