International Olympic Committee (IOC) executive board July mei vote karega 2032 Olympics host karne ke liye. Is saal jyadatar Brisbane front-runner raha hai. Prospective host cities ke between jyada direct aur head-to-head bidding process ki jagah IOC ne apna process shift kar liya hai frontrunner ko identify karne ke liye. Australia ke ABC News reports ne bataya ki host cities jaise ki Indonesia, Budapest, China, Qatar aur Germany jaisi countries ne 2032 games host karne ke liye publicly interest show kiya hai.But new process ko aise design kiya gaya hai jisse ki cost aur bidding system ko cut down kiya jaa sake, aur isne hi early 2021 mei Brisbane ko allow kiya frontrunner banne ke liye.
IOC July 2021 ko vote karegi ki 2032 Officially Brisbane mei hoga ya nhi. Agar aisa hota hai toh Melbourne (1956) aur Sydney (2000) ke baad Olympic host karne wali ye Australia ki third city bann jayegi.
Summer Olympics Tokyo, Japan mei hone wala hai. 2024 Summer Olympics set hua hai Paris, France ke liye aur 2008 Games United States ke Los Angeles ko awarded kiya gaya hai.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.