Inspiring stories tab banti hai jab excellence expectations ko surpass kar deti hai. Shubham Vanmali, jo ki ek international open water swimmer hai unhone kar ke bataya ki jab odds aapke against ho toh fight-back kaise karna chahiye.
26-year-old Nerul ke rahne wale Shubham ko ministry of youth affairs, government of India ke dwara prestigious Tenzing Norgay National Award diya gaya adventure sports mein. Last month hi inhone Delhi ke Rashtrapati Bhawan mein hui ek ceremony mein president of India Draupadi Murmu ke dwara award received kiya tha.
Aisa kuch bhi nahi hai jo Shubham ne naa jeeta ho, par ye award isliye bhi special hai kyun ki wo apne bachpan mei asthma aur learning disability se diagnosed huye hai. Unhone is baat ko as a challenge liya aur baaki toh history hai hi.
Apni journey ke bare mein batate huye Shubham kahte hai ki, “Bachpan mein jab mai Asthma se diagnosed hua that oh doctor ne mujhe advise diya tha ki agar mujhe apni lung capacity badhani hai toh swimming karu aur uske baad se hi maine swimming ko apni regular exercise mein add kar liya. Baad mein mere parents ko bhi meri learning disability ke bare mein pata chala. Phir humne ye decide kiya ki ye kbhi bhi mere life ke beech mei nhi aana chahiye aur tab se hi is par work kiya hun.”
Shubham ke credit several national aur international swimming expeditions hai jaha par inhone number of records bhi set kiye huye hai. Inki major achievements mei English channel, Strait of Gubraltar, Catalina Channel, Manhattan Marathon Swim , Gateway of India to Dharamtar, Gateway of India to Dahanu Beach swim krna ahamil hai. Unhone international events jaise ki Grand Dublin Swim aur National Irish Swim mein gold medal bhi jeeta hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News padhne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi