Karnataka ke Vidith Shankar second swimmer bane jinhone Wednesday ko National record crash Kiya National Aquatic Championship mein. Inhone 50m Breaststroke event le preliminary round mein 29.47 ka timing clock Kiya.Unhone Haryana ke Vansh Pannu ke past record jo unhone 2022 mei banaya tha 29.59s ka use bhi break Kiya.
Final mein Vidith ne National Aquatic Championships mein apna khud ka number better karte huye 29.40s ki timing ke sath finish karte huye gold medal jeeta.
Jharkhand ke Rana Pratap ne 29.75 ki timing ke sath silver medal jeeta. Kerala ke Kevin Jinu ne 30.37 ki timing ke sath finish karte huye third position hasil ki.
Karnataka ke swimmers ne other categories mein bhi dominate Kiya kyu ki Jas Singh aur Ishaan Mehra ne apne respective groups mein Jeet hasil ki thi. Jas Singh jinhone who 2:22:24s ka timing clock Kiya aur gold medal jeeta 200m freestyle mein. Wahi par Ishaan Mehra ne 59.14s ki timing ke sath 100m butterfly mein chart top Kiya.
100m backstroke meim, Krishiv Doshi ne top spot grab kiya. Madhya Pradesh ke in swimmer ne 1:13.34s ki timing clock ki. Goa ke Vihaan ne 1:14:50s ki timing ke sath second spot grab kiya.
Delhi ke Yuvraj Singh ne 400m freestyle meim gold medal jeeta. Karnataka ke Prithviraj Menon aur Akshai Thakuria ne second aur third par finished Kiya respectively.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi