Karntaka government ne COVID ke cases mei kmi aane ki wajah se across the state kuch places par restrictions ease kiya hai. Government ne Swimming pools, gyms, yoga centres ko unki full capacity par open hone ke allow kar diya hai. Ye development ek meeting ke bad hua, Is meeting mei Chief Minister Basavaraj Bommai, Health Minister K Sudhakar aur other senior officials bhi the.
“Swimming pools, yoga centres, gyms ko 50% capacity ke sath open karne ke liye allow kiya gaya tha, aaj ki meeting mei kuch precautionary measures ko follow karte huye in curbs ko bhi hatane ka decide kiya gaya hai,” Health Minister K Sudhkar ne news agency PTI se kaha.
New guidelines ke baad ab se job hi swimming pools,gyms,yoga centres,theatres mei enter karna chahte hai unke liye double dose of vaccination ka certificate compulsory rahega. Theatres mei toh mask pahanna compulsory rahega. Koi bhi food items cinema halls mei le kar jaana allowed nhi hai.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi