Swimming Events Ke Dauran Organizers Ko Best Facilities Provcide Karwane Ka Ka Technical Support Offer Kiya Hai Karnataka Swimming Association Ne.
KSA President B Gopal Hasur Ne TOI Se Kaha Ki, Association Jo Ki State Mei Aquatics Ko Govern Krti Hai, Uske Paas Swimming Events Ko Professional Manner Mein Hold Karane Ka Means Aur Skill Dono Hi Hai.
Unka Ye Comment Roshan Rasheed Ki Death Ke Baad Aaya. Roshan, Ek Teenage Swimmer The Kerala Se Jo Ki City Mei Aaye Huye The CBSE South Zone Swimming Meet Ke Liye.
Swimmer Ki Death Ko Unfortunate Batate Huye Hosur Ne Kaha, “Aise Incidents Ko Avoid Kiya Jaa Skta Hai Agar Event Ko Experts Ke Dwara Organize Kiya Jaa Rha Hai Toh. Organizers Ko KSA Ko Involve Krna Hi Chahiye Q Ki Humne State Championships, Nationals Aur Asian Age Group Meets Jaise Bade Events Organize Karwaya Hai Iske Sath Hi Hamare Paas Experience Hai, Expertise Hai Aur Ye Bhi Pata Hai Ki Event Ko Professionally Kaise Organize Karana Chahiye. Manpower, Inputs Aur Equipment Ke Terms Par Hum Technical Help Bhi Provide Kara Sakte Hai.”
KSA Secretary M Satish Kumar Ne Kaha Ki CBSE Inter-School Events Association Ke Purview Mei Nhi Aaya Tha. “Wo Hamari Help Nhi Lete Hai. Ek Saal Ho Gaya Hai Almost Humne Shikaripur, Shivcamogga Mei Aisa Tournament Conduct Nhi Karaya Hai,” Unhone Kaha. Kumar Ne Authorities Se Ye Bhi Urge Kiya Ki City Mei Sabhi Pools Ko Evaluate Aur Certify Krne Ki Responsibility KSA Ko Dena Chahiye.
“Hamare Paas 80-Point Checklist Hai Jise Har Facility Ko Clear Krna Hoga Big Competitions Hold Karane Ke Liye. Ye Checklist Sabhi Pools Ko Certify Krne Aur Licensing Krne Mei Help Karegi. Sports Authority Of India Ne Ye Job Delhi Government Ke Liye Kiya Hai. Hume Bhi Same Karnataka Mei Bhi Krna Chahiye,” Unhone Kaha.
Unhone Kaha Ki Teenage Ki Death Sabhi Ke Liye Eye-Opener Hona Chahiye. “Ye Ek Lesson Hona Chahiye Sikhne Ke Liye. Aur Aage Se Hume Ye Ensure Krna Hoga Ki Electric Cables Aur Other Equipments Is Tarah Installed Hone Chahiye Ki Wo Water Ke Contact Mei Naa Aa Sake.”
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.