Telangana ki swimmer Vritti Agarwal ne Panchkula, Haryana mei recently hi conclude hui Khelo India Youth Games mei kaafi acha perform karte huye apni presence show ki sabhi ko.
In 15-year-old ne naa sirf 2 gold medal jeete hai 1500m aur 800m freestyle event mei, unhone aisa kiya bhi toh meet records ke saath. Pahle unhone yellow metal jeeta 800m event mei 9.24.32 ki timing ke sath aur phr 1500m event mei top honors bagged kiya 18.01 seconds ki timing ke sath. Unhone 400m event mei bronze medal bhi jeeta aur three medals ke saath ghar wapas gai.
“Mujhe bahot acha feel ho raha hai two gold medals jeet kar. Mai pahle se hi confident thi winning ko le kar. Last year October mei bhi maine 2 gold medals aur 1 silver medal jeeta tha national event mei. Isliye mai bahot confident thi,” Vritti ne kaha jo ki city mei return aa gai hai Panchkula se.
Vritti, halaki abhi rest krne ko ready nhi hai apne laurels ke sath. Wo apne timing ko further improve krne ke liye work kr rhi hai. Unhone reveal kiya ki unka focus ab postponed huye Asian Games par hai aur uske baad Paris Olympics par. “Mai din mei 5-6 hours training krti hun. Mera dream hai ki India ko Asian games mei represent karu aur uske baad Paris, Olympics mei jo ki 2024 mei hoga. Asian games ke postponed hone ke baad phir se ek trial hone wala hai aur mjhe qualify hona hai games ke liye,” Vritti ne kaha.