Hello Swimmers Jaisa Ki Aap Sabko Pta Hai Ki Competition Season Ki Shuruwat Kuch Months Me Shuru Ho Jayegi And Swimmers Apna Personal Best Time Ko Todne And India Ke Best Time Ko Todne Ke Liye Puri Kosis Krenge Lekin Kya Ye Sab Koi Ek Swimmer Khud Ko Sirf Motivate Krke Hi Kar Skta Hai ? Ya Sirf Practice Karke ?
Mera Jo Sochna Hai Wo Ye Hai Ki Ek Swimmer Ko Har Us Chiz Ka Use Krke Aage Badhna Chahiye Jisse Uska Fayda Ho, Jaise Maine Dekha Hai Ki Bahut Se Swimmers Hard Practice Krke Bhi Apna Aim Nahi Hasil Kar Pate Or Kuch Swimmers Practice Ke Sath Extra Source Ka Use Karke Apne Aim Ko Pa Lete Hai.
Swimmers Ko Practice Ke Baad Bhi Apne Dimag Me Har Wo Rasta Khojna Chahiye Jisse Wo Khud Ko Improve Kar Ske Jaise World Ke Best Coaches Ka Interview Dekh Kar Swimmer Ye Jaan Skta Hai Ki Uske Progress Ke Liye Present Time Me Kya Best Rhega. Ham Jante Hai Swimming World Me Daily New Equipments Aa Rhe Hai Lekin Mostly Swimmers Abhi Bhi Purne Pattern Se Practice Kar Rha Hai Jo Ki Usko Kahi Na Kahi Piche Hi Kare Jaa Hi Hai.
Swimmers Ko New Equipments Ka Online Video Review Dekhna Chahiye Or Agar Wo Equipment Uske Liye Sahi Lge To Swimmers Ko Wo Jrur Use Karna Chahiye. Kafi Sare Olympic Champion Daily Vlog Karte Hai Jisme Wo Apna Routine, Diet Plan, Recovery Tips Jaisi Kafi Chiz Share Karte Rhte Hai Isliye Aap Unn Champions Ko Follow Kariye And Unse Sikhiye And Us Chiz Ko Dhire Dhire Khud Par Implement Kriye.
Isi Tarah Parents And Coach Ko Bhi Practice Ke Alawa Online Research Karte Rhna Chahiye Jisse Unko Apne Swimmers Ke Liye Best Decision Lene Me Asani Ho.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi