Hello Swimmers, Kaise Hai Sab ?, Mere Pass Kuch Dino Se Kafi Queries Aa Rhi Thi Ki-
- Workout Me Performance Nahi Improve Ho Rhi Hai,
- Workout Me Man Nahi Lag Rha Hai,
- Kabhi Time Improve Hota Hai To Kabhi Time Me Kafi Bekar Results Aata Hai Ek Consistency Nahi Rhti Time Me,
- Competition Me Better Performance Ke Liye Kya Kre ?
Aise Hi Kafi Questions Mujhse Kuch Swimmers Ne Pucha, Isliye Aaj In Sabka Best Solution Mai Aapko Is Article Me Dunga.
Hota Kya Hai Jab Bhi Koi Swimmer Ek Hi Workout Ko Daily Basis Par Karne Lagta Hai To Uski Body Ko Usi Workout Ki Adat Ho Jati Hai And Wo Swimmer Us Workout Ko Kafi Easily Finish Bhi Kr Deta Hai Lekin Actually Me Hota Kya Hai Ki Workout Ka Matlb Ye Hota Hai Ki Aapki Body Ko Uski Limit Tak Lakar Ek Push Dena Taki Body Ki Muscles Ka Growth Ho. Isliye Ye Jaruri Hai Ki Aapka Jo Bhi Workout Hai Usme Daily Kuch Na Kuch Variation Ho.
Jaise Agar Day 1 Ko Aapne Main Set Me 200*10 IM Kiya To Next Day 200*5 IM Drill + 200*5 IM Kick Ko Include Kare, Aise Hi Variation Lake Aap Apni Body Ko Roj Ek New Challenge De Skte Hai Jisse Definitely Workout Me Performance Improve Hogi And Workout Me Man Bhi Laga Rhega Kyuki Apne Samne Roj Ek New Challenge Rhega.
Workout Me Variation Lane Se Upar Btaye Gaye 1,2,3 Point Ka Solution Isi Se Mil Jayega.
Ab Baat Aati Hai Ki Aisa Kya Kre Ki Competition Me Better Performance Aaye, To Iska Solution Jo Mujhe Sabse Best Lagta Hai Wo Ye Hai Ki Aap Competition Se 1 Month Phle Regular Basis Par Apne Pool Par Best Swimmers Ke Sath Sprint Kare, Relay Kre And Mind Me Ye Baat Rakhe Ki “Jo Performance Mai Yaha Karne Ja Rha Hu Whi Performance Mai Competition Me Bhi Krunga”.
Agar Aap Aisa Soch Kar Apna Har Sprint Krenge To Competition Me Aapko Isse Acha Hi Time Dekhne Ko Milega.
Baki Aaj Ke Liye Itna Hi Agar Aapke Pass Or Bhi Koi Queries Ho To Aap Niche Comment Krke Puch Sakte Hai Mai Uska Solution Dene Ki Kosis Krunga.
Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi