Sajan Prakash Jo Ki India Ke Ek Matr Aise Male Swimmer Hai Jinhone India Ko 2016 Rio Me Represent Kiya Hai, Lekin Ab Sajan Prakash Ko Government Se Financial Help Chahiye Taki Wo Commonwealth And Asian Game Dono Ke Liye Ek Acchi Training Le Ske, Ham Jante Hai Ki Koi Bhi Swimmer Chota Sa Chota Medal Bhi Dekh Kar Inshan Motivate Rhta Hai Lekin Agar Wo Sare Medals Hi Na Ho To Swimmers Ke Motivation Par Kafi Fark Pdta Hai Or Kisi Bhi Chiz Ko Hasil Krne Ke Liye Motivation Sabse Important Hai Lekin Financial Help Ke Karan Sajan Apne Medals Ko Sell Krne Ke Liye Soch Rhe Hai.
TOPS (Target Olympian Scheme) Ke Liye Nominate Hone Ke Bawjud Bhi Sajan Ko International Events Ke Liye Financial Assistance Chahiye. TOPS Me Wo Swimmer Select Kiye Gaye The Jimne 2020 Olympics Games Me Medals Jitne Ka Potential Dekha Gya.
Olympian Sajan Prakash Ne Ek Report Me Btaya Ki “Maine Pichle 2 Months Me Khud Ki Taraf Se Dubai, Thailand And Singapore Me Hue Kafi Sare Events Me Lagbhag 4 Lakh Rs Kharch Kar Diye Hai, Or Ab Mere Pass Itna Kuch Nahi Bacha Hai Ki Mai Aage Hone Wale Higher Level Ke Events Me Participate Kar Pau, Na Mere Pass Funds Hai Or Na Hi Koi Sponsor.”
Olympian Sajan Ke Maa, Shantimol, Jo Ki Ek Athlete Hai Wo Sajan Ke Liye Kafi Dukhi Hai, Unka Khna Hai Ki “Ab Or Koi Option Nahi Bacha Hai, Ab Sajan Prakash Ko Mai Yai Suggest Karungi Ki Wo Apne Kuch Medals Bech De Jisse Funds Collect Ho Ske”
India Ke Union Sports Minister Rajwardhan Singh Rathor Jo Ki Sports Ke Liye Kafi Kuch Kar Rhe Hai, Sajan Ne Unko Bhi Tweet Kiya Lekin Abhi Tak Koi Bhi Response Nahi Mila. Sajan Has Won Six Gold And Three Silver Medals At The National Games Thiruvananthapuram. He Had Also Won Silver For India In The 100-Metre Butterfly Event At The Asian Indoor Games.
Aap Bhi Isko Jyada Se Jyada Share Kre Taki Olympian Sajan Ki Help Ske
Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- Swimswamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega