Lucknow Ke 12 Saal Ke Ek Ladke Ne Sirf 12 Din Mein Swimming Sikh Kar Yamuna River 10 Minute Mei Hi Cross Kar Diya.
Hasan Abbas Raza, Jo Ki Apni Nani Ke Ghar Aaye Huye The Prayagraj Ke Kareli Mein Summer Holidays Manane Ke Liye. Aur May 26 Se Unhone Swimming Sikhna Start Kiya Tha.
Ye Class 8 Ke Student Hai Aur Kashmiri Muhana Road Ke Resident Bhi Hai.Apne Trainers Ke Guidance Ke Under Hasan Ne Meerapur Sindu Sagar Ghat (Kakraha Ghat) Se Swimming Karna Start Kiya Subah 6.25 Am Se Aur Wo River Ke Us Side Yaani Ki Vidhyapeeth Maheva Ghat Pahoch Gaye Sirf 10 Minute Mein Matlab Ki 6:35 Am Par.
Master Trainer Tribhuwan Nishad Ne Toi Se: “Hasan Ek Talented Ladka Hai Aur Unhone Swimming Skills Sirf 12 Days Mein Learn Kar Li.”
Hasan Ke Father Mojiz Raza Aur Unki Mother Hina Rizvi Apne Bete Ke Is Achievement Par Bahot Proud Feel Kar Rahe Hai.
Hina Ne Kaha Ki, “Hasan Sirf Swimming Sikhne Ke Liye Hi Nhi Determined The Balki Yamuna River Ko Ek Stipulated Time Mei Cross Karne Ke Liye Determined The. Jab Hasan Ne Yamuna River Ko Sirf 10 Minutes Mein Cross Kiya, Wo Unke Family Ke Liye Ek Yaadgaar Moment Tha.”
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi