Gopal Prasad, Jo Ki Ek National Level Ke Swimmer Hai. Unhone Na Jane Kitne Hi Medals Jeete Hai Par Aaj Unke Haalat Aise Hai Ki Apni Family Ko Support Karne Ke Liye Unhe Patna Mein Chai Bechni Padd Rahi Hai. Unka Stall Nayatola Mein Chalta Hai Jiska Naam ‘National Swimmer Tea Stall’ Hai. Ek State Ko Apne Sportsmen Ke Saath Kaise Treat Karna Chhaiye Prasad Uska Hi Ek Best Example Hai.
Prasad, Jinka Sapna Tha Ki Who Ek International Swimmer Bane Aur India Ko Proud Feel Karaye. Ab Wo Apne Bachcho Ko Ganga Mein Swimming Karna Sikhate Hai. Unhone 1987 Mein Kolkata Mei Organized Ek Program Mein Bihar Ko Represent Kiya, Jiske Baad Unhone 1988 Aur 1989 Mein Kerala Mein Organized National Competitions Mein Shandaar Performance Karte Huye Khud Ka Naam Banaya. Unhone 1988 Mein Danapur Mein 100m Backstroke Competition Bhi Jeeta. Lekin Uske Baad Unke Sapne Udaan Bharne Mein Asafal Rahe. Unhone Postal Department Mein Sports Quota Ke Under Job Ke Liye Apply Kiya Tha Par Job Nahi Mili Unhe.
Unke Bete Sunny Aur Sonu Kumar Bhi Avid Swimmer The, Lekin Bihar Mein Sports Ki Kharab Vyavastha Ko Dekhkar Unhone Khel Chhod Diya. Yah Puche Jaane Par Ki Prasad Ne Apne Tea Stall Ka Naam ‘National Swimmer Tea Stall’ Kyu Rakha Hai, Unhone Jawaab Diya Aur Ani Ko Bataya Ki Yah Humble Backgrounds Se Aane Wale Sports Star Ki Sorry Conditions Ko Highlight Karne Mein Help Karta Hai, Jinki Sirf Ek Hi Wish Hoti Hai Ki Woh Apne Tirange Ke Liye Tareef La Sake.
India Mein Ye Koi Nai Baat Nahi Hai Ki Ek National Level Ke Sportsperson Ko Apne Haalato Ki Wajah Se Apne Sapno Se Samjhauta Karna Padd Raha Hai. Aur Ab Ye Sabse Sahi Samay Ki Yaha Ke Politicians Aur Sports Administrators Ko Is Bare Mein Soch Vichaar Karna Chhaiye Aur Hamare In Honhaar Sports Persons Ke Future Mein Sahi Decisions Lena Chhaiye. Aur Agar Aisa Nahi Hota Hai Toh India Ka Olympic Mei Accha Banne Ka Sapna Bas Sapna Hi Rah Jayega.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi