Palgahr district mei Gateway of India se Dahanu beach tak 140 km swimming ka record banane ke baad, Shubham Vanmali 2022 mei new record banane ke liye taiyari bhi kar rahe hai. Vanmali ne swimming ki history mei ek new page add karne ke liye preparation start kar di hai. Next year wo Goa se Mumbai swim karne wale hai jiska distance 413 km hai.
Vanmali ne Gateway of India se Dahanu tak 140 km ka distance 28 hours aur 40 minutes aur 5 days ke period December 17 se 21 tak hogi. Unhone claim kiya ki wo first Indian swimmer hai jinhone assisted swimming mei 140 km complete kiya hai.
Experts ke according, assisted swimming difficult hoti hai q ki swimmer ko current ke saath swim karna hota hai ya phir use current ka wait karna padta hai apne finishing point ke towards tak.
Apne earlier attempt mei, Shubham ne famous English channel, The Strait of Gibraltar, Catalina channel, The Manhattan Marathon Swim, The Round Trip Angel Island Swim, Perhentian Island Marathon Swim, Raj Bhawan, Walkeshwar se Gateway of India mei swim karne ka record banaya hai.