Britain ke Olympic champion Duncan Scott jinhone last year huye Tokyo games mei four medals jeeta tha, unhone swimming world championships se pull out kr liya hai COVID-19 ke lingering effects ki wajah se.
Swimming event Budapest mei Saturday se start hone wala hai aur ye event 25th tk chalega, aur Scott ki absence ek big blow ho skti hai team GB ke relay hopes ke liye.
“Maine decide kar liya hai World champs se pull krne ke liye jo ki is week se start hone wali hai.Absolutely devastated. Covid se wapas aane ke baad mai high intensity ke liye bahot struggle kar raha hun. Ab time hai ki mjhe apni health ko phle rkhna chaiye aur recovery pr focus krna chaiye.” Scott ne twitter par kaha.
Scott jinhone June 1st ko reveal kiya ki unhe covid hua tha, unhone Tokyo mei 4*200m freestyle mei gold aur 200m freestyle, 200m medley aur 4*100m medley mei silver medal jeet kr kisi single Olympics mei sabse jyada medal jeetne wale athlete bnn gye Britain ke.