You are working on Staging1

Olympic Swimmers China Ke Doping Scandal Se Distract Na Ho

April Me Aai Reports Se Pata Chalta Hai Ki 2021 Me Tokyo Olympics Se Pahle 23 Chinese Swimmers Ko Heart Related Drug Trimetazindine Ke Liye Test Kiya Gaya Tha Jo Positive Aaya Tha- Jo Unki Performance Enhance Kar Sakta Hai. 

Australia Ke Head Coach Rohan Taylor Ne Apni Olympic Team Se  Chinese Doping Scandal Se Distract Na Hone Ka Aagrah Kiya Hai, Jisne Khel Ko Hilakar Rakh Diya Hai, Unhone Ise ‘A Waste Of Energy’ Kaha Hai. 

April Me Aai Reports Se Pata Chala Ki 23 Chinese Swimmers Ko 2021 Me Tokyo Olympics Se Pahle Prescription Heart Drug Trimetazindine Ke Liye Test Kiya Gaya Tha- Jo Performance Ko Enhance Kar Sakta Hai. 

World Anti Doping Agency (Wada) Dwara Chinese Authorities Ke Iss Explanation Ko Accept Karne Ke Baad Result Uss Hotel Me Food Contamination Ke Karan The, Jagan We Ruke The, Unhe Suspend Or Sanction Nahi Kiya Gaya Tha. 

Ye Scandal Friday Ko Phir Se Saamne Aaya Jab Newyork Times Ne Claim Kiya Ki Unme Se 3 – Jinme 2021 Ke 2 Gold Medalist Aur Ak Current World Record Holder Shaamil Hain. Kai Saal Pahle Alag Alag Mamlon Me Banned Substances Ke Liye Positive Test Kiye Gaye The.

China Ne Tark Diya Ki Teeno Ne Contaminated Meat Ke Through Anjane Me Uss Substance Ko Kha Liya Tha.

Taylor Ne Kaha Ki Kisi Aisi Cheez Ke Baare Me Chinta Karne Me Time Waste Karna Sahi Nahi Hai Jis Par Unka Koi Control Nahi Hai.

National Broadcaster Abc Ki Report Kr According, Saturday Ko Australia Ke Olympic Trials Ke Last Day Unhone Kaha, “Mujhe Lagta Hai Ki Hamare Liye Aantarik Roop Se Hum Keval Wahi Control Kar Sakte Hain.”

“Narrative Bilkul Clear Hai Aur Hum Keval Itna Hi Kar Sakte Hain. Hume Bharosa Karna Hoga Ki Wada Aur World Aquatics Investigation Continue Rakhenge Aur Hum Ak Clean Sports Ke Saath Jude Huye Hain.

Seven Times Olympic Champion, America Ki Great Player Katie Ledecky Ne Iss Month Kaha Ki Anti-Doping Upayon Me Trust “Ab Tak Ke Sabse Nichle Level Pe Hai.”

Ab Tak Australia Ke Top Swimmers Iss Mudde Par Kaafi Had Tak Chup Rahe Hain, Lekin Taylor Ne Kaha Ki Agar Wo Chahein Toh We Unhe Apni Raay Vyakt Karne Se Nahi Rokenge.

“Main Ise Iss Tarah Dekhta Hun Ki Hum Compete Karne Ja Rahe Hain.”

“Agar Koi Sahi Kaam Nahi Kar Raha Hai, Toh Hum Ummeed Karte Hain Ki System Unhe Pakad Lega Aur Mool Roop Se Hum Isi Tarah Kaam Karte Hain, Kyuki Hamare Logon Ka Bhi Har Time Test Kiya Jata Hai, Isliye Hum Ak Hi Boat Me Savar Hain.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »