2021 Mei Hone Wali World Junior Swimming Championship Ko FINA Ne 2022 August Tak Postpone Kar Diya Hai. Ye Event 24-29 August Tak Kazan, Russia Mei Hona Tha, But Abhi Ke Liye Use Rok Kar Agle Saal Tak Postpone Kar Diya Hai. August 2022 Mei Hi Hoga Ye Clear Hai Par Tarikh Ke Baare Mei Abhi Kuch Nhi Decide Hua Hai.
Aisa Decision Fina Ne Tab Liya Jab Ongoing Global Pandemic Ki Wajah Se Kai Saari Countries, Including Australia Ne Announce Kiya Ki Coronavirus Ke Concerns Ki Wajah Se Wo Apni Team Nhi Bhejenge 2021 Meet Ke Liye.
Wahi FINA Ne Abhi Tak News Ko Media Mei Nhi Release Kiya Hai, Host Karne Wali All-Russia Swimming Federation Ne Is Week Hi Postponement Announce Kiya Hai.
2021 World Aquatic Championships Last Year Postpone Hui Thi, Pandemic Ki Suruwat Mei Hi, Uski Date 22 May Aur Location Fukuoka, Japan Decide Kiya Gaya Tha.
World Junior Championships Har 2 Saal Par Hoti Hai Aur Isme World Ke Top Junior-Aged Swimmers Participate Karte Hai. Female Swimmers Jinki Age 14-17 Tak Hoti Hai Aur Male Swimmers Aged 15-18 Tak Hoti Hai Unhe Apni Age Ke Base Par Competition Year Ke End Mei Eligible Hote Hai Is Event Ke Liye.
FINA Ne Abhi Tak Ye Respond Nhi Kiya Hai Ki Wo Age Eligibility Extend Karenge 1 Year Ke Liye Un Athletes Ke Liye Jo Ki Abhi Final Year Mei The 2021 Mei. Kyu Ki Aur Bhi Postponed Events, Jisme World University Games Bhi Included Hai, Unhone Age Eligibility Extend Kar Di Hai.
Most Recent World Junior Swimming Championship Ki Baat Kare Toh Jo Ki 2019 Mei Budapest Mei Hui Thi, Usme United States Ne Sabhi Nations Ko Lead Kiya Tha. U.S. Ne 37 Medals Jeete The Jisme 18 Gold Medals The. Russia 2nd Par Tha 7 Gold Medal Aur Total 22 Medals Ke Saath. Australia 3rd Par (4 Gold, 13 Total) Aur Canada 4th Par (2 Gold, 12 Total) Tha.
Indian Swimming Ki News And Swimming Se Related Amazing Tips Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jrur Like Kar Le.