Para Swimmer Prasanta Karmakar Ko 3 Saal Ke Liye Suspend Kar Diya Gya Hai Iske Piche Jo Reason Nikal Kar Aaya Hai Wo Ye Hai Ki Prashanta Karmakar Ne Female Swimmers Ki Video Record Kari Hai.
Para Swimmer Prasanta Karmakar Commonwealth Games 2010 Ke Bronze Medallist Hai, Athlete Turned Coach Prasanata Karmakar Ke Iss Matter Par Paralympic Committee Ne Jo Faisla Liya Hai Wo Unko 3 Year Ke Liye Ban Karne Ka Liya Gya Hai.
Prasanta India Ke Sabse Decorated Para Swimmer Rah Chuke Hai Or Unhone 37 International Medal India Ke Liye Jeete Hai. Prasanta Rio 2016 Me Paralympic Swimming Team Ke Coach Bhi Bnaye Gye The. Prasanta Ne World Swimming Championships 2003 Me Bhi India Ke Liye Medal Jeeta Tha. 2009 International Wheelchair And Amputee Sports (IWAS) World Games Jo Ki Bangalore Me Hua Tha Usme Bhi Prasanta Ne 4 Gold, 2 Silver And 1 Bronze Jeeta Tha.
Prasanta Karmakar 50m Butterfly, 50m Breaststroke, 50m Bacsktroke Me Abhi Bhi Paralympic Swimming Asian Record Apne Name Kiye Hue Hai And Prasanta 50m Freestyle, 100m Freestyle, 100m Backstroke And 200m Individual Medley Me Bhi Paralympic National Record Holder Hai.
Arjuna Award 2011 And Major Dhyan Chand Award 2015 Se Bhi Prasanta Ko Smmanit Kiya Ja Chuka Hai.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
- Telegram: SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega