Haal hi me Australia me held Para Swimming World Series me Vadodara ki 23 years ki Garima Vyas ne national records banaye.
Vyas ne sabse pahle Melbourne me 14 se 16 February tak held tournament ke dauran 50m SB5 category me para swimmer Mamta Mishra ka national record break kiya. Mishra ne 2017 me ak national swimming tournament me 50m ki lap 1.28.88 minutes me complete ki thi. Vyas ne 1.26.22 minutes me lap complete karke unke record ko better banaya.
Lekin wo yahin nahi ruki. Usi din Vyas ne 100m breaststroke SB5 category me apna hi record break kiya. Last year Vyas ne 3.26.64 minutes me 100m tairkar national record banaya tha. Iss tournament me unhone isi category me 3.04.23 minutes me lap complete kiya.
Vyas ne TOI se kaha, “Main iss world series me achha perform karke aur ak din me 2 record break karke bahot khush hun. Maine bahot mehnat ki aur apni timing improve karti rahi.”
Sports Authority of Gujarat (SAG) ke district coach Vivek Singh Borliya ne kaha, “Main last 5 years se use coaching de raha hun aur mujhe kahna hoga ki wo ak bahot hi dedicated sportsperson hai. Jab se wo hamare saath judi hai, Vyas me bahot improvement hui hai aur swimming me uska time aur behtar hota ja raha hai. Wo har din lagbhag 3 ghante swimming ki practice karti hai.”
Vyas ko iss month New Delhi me start huye Para Swimming National Coaching Camp ke liye bhi select kiya gaya hai, jahan unhe next month Spain me hone wali Para Swimming World Series ke liye intensive training and preparation karni hai. 9 saal pahle Vadodara se lagbhag 45km door Pavagadh ke rough terrains me trekking karte time ak terrible accident ke baad iss gritty sportsperson ko paraplegia ho gaya tha.
Apne treatment ke dauran, Vyas jo waist ke neeche apne body ko feel nahi kar paati hain ne apni body movements ko better karne ke liye swimming pool me dubki lagane ka decision liya.
Wah jald hi swimming me ram gayi aur paani me mili freedom ne use iss sport ko professionally apnane ke liye inspire kiya.
15 saal ki age me, Pavagadh me ak trekking expedition ke dauran use ak severe accident face karna pada, jiske karan wo bistar pe padi rahi aur depression me chali gayi. Nirasha ke aage jhukne ke bajay, Garima ne swimming me solace and strength paai, jo uska therapeutic outlet aur passion ban gaya.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi