You are working on Staging1

Paris 2024 Doping Scandal Ke 11 Swimmers China Olympic Team Me Shamil

China Ne Next Month Paris Olympics Ke Liye Apni Team Ki Announcement Kar Di Hai, Jiske Baad China Doping Scandal Me Fanse 11 Swimmers Ko Next Month Paris Olympics Me Bhejega.

China Next Month Hone Wale Paris Olympics Me Ak Bade Doping Scandal Me Fanse 11 Swimmers Ko Bhejega, Country Ne Games Ke Liye Apni Team Ki Announcement Kar Di Hai.

April Me Ye Baat Saamne Aai Thi Ki Pandemic Ke Karan Delayed 2021 Tokyo Olympics Se Pahle 23 Chinese Swimmers Ko Heart Ki Dawa Trimetazindine Ke Liye Positive Paaya Gaya Tha- Jo Performance Ko Enhance Kar Sakta Hai.

World Anti Doping Agency (WADA) Dwara Chinese Officias Ke Iss Tark Ko Accept Karne Ke Baad Ki Positive Tests Food Contamination Ke Karan Huye The, Unn Par Sanction Nahi Lagaya Gaya.

Kai Swimmers Ne Kuch Months Baad Tokyo Me Gold Sahit Kai Medals Jeete.

China Ne Tuesday Ko Paris Ke Liye Apni Swimming Team Ki Announcement Ki. Inme Se 23 Me Se 11 Players Shaamil Hain Jinka Naam April Me News Reports Me Aaya Tha, Jisme Mass Positive Tests Ke Baare Me Story Saamne Aai Thi.

Iss Team Me Butterfly Specialist Zhang Yufei Shaamil Hai Jisne Japan Me 2 Gold Medals Jeete Hain, Saath Hi Wang Shun Me Ak Aur Gold Medalist Bhi Shamil Hai.

Breaststroke Multiple World Champion Aur 200m Record Holder Qin Haiyang Ak Aur Player Hai, Jiska Naam Reports Me Tha Aur Wo Paris Jayega.

April Me, The Newyork Times Aur German Broadcaster ARD Ne Bataya Ki 23 Chinese Swimmers Ko 2020 Ke Last Me 2021 Ki Starting Me Ak Domestic Competition Me TMZ Ke Liye Positive Test Kiya Gaya Tha.

Chinese Anti Doping Authorities Ne Paya Ki Unhone Anjane Me Apne Hotel Me Tainted Food Ks Sevan Kiya Tha Aur Unke Against Koi Action Warranted Nahi Tha.

Swimmers Ko Punish Na Karne Aur Unhe Competition Continue Rakhne Ki Anumati Na Dene Ke WADA Ke Decision Ki Kadi Aalochana Hui,  Particularly USA Se.

Iss Baat Par Bhi Gussa Tha Ki Mamla Via Media Reports Ke Through Kaise Saamne Aaya.

US National Anti-Doping Agency Ke Head Travis Tygart Ne Ise “Potential Cover Up” Kaha Hai, Iss Allegation Ko WADA Aur China Ne Strongly Deny Kiya Hai.

WADA Ne Kaha Hai Ki Wah China Me “ Desh Ke Anti-Doping Programme Ki Current State Ka Assess” Karne Ke Liye Ak Compliance Audit Team Bhejega, Ak Investigation Jisme China Ne Kaha Hai Ki Wah Help Karega.

Scrutiny In Paris:-

Iss Month Newyork Times Ne Bataya Ki Qin, Wang Aur Ak Anya Swimmer Ne Kai Saal Pahle Alag Alag Mamlon Me Ak Alag Banned Substance Ke Liye Positive Test Kiye Gaye The.

Times Ne Kaha Ki Teeno Ne 2016 Aur 2017 Me Clenbuterol Ke Liye Positive Test Kiya Tha.

Chinese Officials Ne Tark Diya Ki Unhone Contaminated Meat Ke Through Anjane Me Substance Ka Sevan Kiya Tha Aur Koi Disciplinary Action Nahi Liya Gaya Tha.

WADA Ne Kaha Ki Teeno Me Clenbuterol Ka Level Pata Gaya Jo Agency Dwara Vartman Me Use Kiye Jaane Wale Minimum Reporting Level Se “ 6 Se 50 Guna Kam Tha.”

AFP Ko Diye Gaye Ak Statement Me China Ke Anti Doping Body Ne Iss Week Jawabi Hamla Karte Huye Times Ki Kahani Ko “ Media Ethics And Morals” Bataya.

26 July Ko Paris Olympic Start  Hone Par USA And Australia Jaise Powerful Count Ke Saath-Saath China Ko Bhi Swimming Medal Jeetne Ki Ummeed Hai.

Halanki, China Ke Tairaakon Par Kadi Nazar Rakhi Jayegi.

Unhonne Kaha, “Aap Jaanate Hain, Jab Ham Sab Kuchh Daanv  Par Laga Dete Hain… Ham Jo Kuchh Bhi Karte Hain, Vah Sab Ek Samaan Playing Field Ke Saath Compete Karne Ke Lie Karte Hain, To Yah Vishvaas Na Hona Bahot Hi Disappointing Hai Ki Dusre Bhi Aisa Hi Kar Rahe Hain.”

Australia Ke Main Coach Rohan Taylor Ne Apne Team Se Khud Par Dhyan Dene Ke Liye Urge Kiya.

Unhonne Kaha, “Humein Bharosa Karna Hoga Ki WADA Aur (Governing Body) World Aquatics Investigation Continue Rakhenge Aur Ham Ek  Clean Sports Ke Saath Aligned Hain.”

Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »