Opposition members ne Monday ko Goa me drinking water ki supply ki shortage ko lekar government ko criticize karte huye kaha ki swimming pools wale new constructions par curbs impose karne ki jarurat hai.
Opposition ne aarop lagaya ki construction karne wale log ye kahte hain ki wo pool ke paani ki arrangements khud karenge lekin wo state resources ka use karte hain aur paani bahate hain.
Fatorda ke MLA Vijai Sardesai ne puchha, “Kya wo Delhi se paani la rahe hain?”
Aldona ke MLA Carlos Ferreira ne kaha ki kai log pool ke liye peene ke liye PWD ke treated water ka use kar rahe hain.
“New bungalows me iss shart ke saath swimming pool banane ki permission hai ki paani ki arrangement kahin aur se ki jaani chahiye lekin sach me wo PWD ke paani ki supply ka use kar rahe hain. Aap iski monitoring kaise kar rahe hain? Hamare logon ko paani nahi mil raha hai, lekin new colonies ko uninterrupted supply mil rahi hai,” Ferreira ne kaha.
Sardesai ne kaha ki peene ke paani ki actual shortfall state ke 50 MLD ke figure se kahin jada hai.
Opposition ke leader Yuri Alemao ne kaha ki Ramkrishna Dhavalikar ke PWD minister ke tenure ke during state government ne 24 hours drinking water supply ka promise kiya tha, lekin Nilesh Cabral ke karyabhar ko sambhalne ke baad ye promise decrease ho ke 8 hours rahe gaye.
“Ab CM ak din me 4 hours water supply ka promise kar rahe hain. Lekin most areas me citizens ko keval ak ghante hi paani mil raha hai. Humne abhi tak carrying capacity ki study nahi ki hai,” Alemao ne kaha.
Benaulim ke MLA Venzy Veigas ne kaha ki Goa ke non-revenue water, or water leakages ka 30% part bahot high hai.
Ferreira ne kaha ki old pipelines bhi poor supply me contribute kar rahi hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi