Ham Sab Jante Hai Ki Michael Phelps Ka Main Element Underwater Dolphin Kick Hai, Kafi Sare International Events Me Michael Phelps Ne Apni Underwater Dolphin Ke Dam Par Hi Puri Race Apni Traf Kari Hai. To Aab Aap Ki Bari Hai Ki Aap Bhi Ab Apni Dolphin Kick Ko Uss Level Par Le Jaye Ki Turn, Start Me Aapko Piche Krne Wala Koi Swimmer Na Rhe. To Chaliye Dekhte Hai Kuch Khas Points Jispar Work Karke Ek Behtareen Dolphin Kick Develop Kari Ja Skti Hai.
4 Basic But Important Points
- Technique Ko Smajhna
- Flexibility
- Right Training
Technique
Fast Kick + Less Drag = Fast Swimming
Sahi Technique Ke Liye Aap Apne Dolphin Kick Ka Video Bnwa Kar Use Baar Baar Dekhiye Aur Apne Coach Ke Sath Bhi Us Video Ko Share Kriye Taki Technique Me Jo Bhi Kmi Ho Wo Dekhi Ja Ske. Jo Jo Galtiya Mile Use Kahi Note-Down Kar Lijiye Aur Fir Usi Points Ko Improve Krne Ke Liye Training Kariye. Isi Se Aap Technique Ko Improve Kar Skte Hai.
Flexibility
Swimmers Flexibility Ke Liye Bhi Jane Jate Hai, Aur Swimming Me Flexibility Ki Bhi Bahut Jarurat Padti Hai Or Ek Achi Dolphin Ki Puri Lower Body Ki Flexibility Par Hi Depend Rhti Hai Isiliye Swimmers Ko Ye Bola Jata Hai Ki 30-40m Phle Flexibility Bdhane Wali Exercise Kriye Uske Baad Hi Pool Me Utariye.
Right Training
Baki Upar Bnaye Gye Dono Point Bekar Hai Agar Aapne Use Sahi Trike Se Nahi Kiya Means Aapko Ek Proper Way Me Training Karni Hogi Jisse Step By Step Aap Improve Hote Rhe. Kabhi Bhi Koi Chiz Hasil Karne Ke Liye Jaldibaji Na Kre Aur Na Jyada Late Kre. Aagar Aap Ek Shi Direction Ke Sath Training Kar Rhe Hai To I’m Sure Ki Apka Improvement Hona Hi Hai.
Join Us:-
- Google Plus:- Swimswam Hindi
- Twitter:- Swimswam Hindi
- Facebook:- Swimswam Hindi
- Pintrest:- Swimswam Hindi
- Flipboard:- Swimswam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or Swimswam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega