37th Sub Junior Aur 47th Junior National Championships Mei Karnataka Ki Swimmer Ridhima Veerendrakumar Ne Ek Aur Record-Breaking Performance Di.
Unki Group II 100m Backstroke Ki Swim Ki Tarah Hi Ridhima Ne Quick Start Liya Aur Powerful Strokes Ke Saath Lead Bhi Liya. Ye Lead Itni Powerful Rahi Ki Unhone 2014, Bhopal Mei Bane Olympian Maana Patel Ke 30.37 Ke Record Ko Bhi Apne Shaandaar Timing 29.94 Seconds Ke Saath Break Kiya.
Karnataka Ki Hi Shalini Dixit Ne Is Event Mei 31.98 Seconds Ki Timing Ke Saath Silver Medal Jeeta. Telangana Ki Nitya Sago Ne 32.68 Seconds Ki Timing Ke Saath Bronze Medal Jeeta.
Wahi, Maharashtra Ki Apeksha Fernandes Ne Group I Girls Ke Liye 50m Breaststroke Mei New National Record Banaya. Unhone Final Mei Apne Hi Purane Record 34.57 Ko Beat Karte Huye 34.44 Ki Timing Ke Saath New Record Banaya.
Maharashtra Ki Tanisha Chheda Ne Is Event Mei 35.43 Ki Timing Ke Saath Silver Medal Jeeta Wahi Karnataka Ki Anita A Gowda Ne 36.37 Ki Timing Ke Saath Bronze Medal Jeeta.
Ek Naya National Record 200m IM Mei Bhi Bana Group III Girls Ke Liye. Karnartaka Ki Dhinidhi Desinghu Ne 2:33.36 Ki Timing Banate Huye Vania Kapoor Ke 2:37.99 Ke Record Ko Erase Kiya.