December Me World Anti-Doping Agency(WADA) Dwara Russia Ko Olympic KeSath Sath Global Sports Se 4 Saal Ke Liye Ban KarDiya Gaya Tha, 2014 Ke Sochi Olympics Me Russia Ke Doping Ka Mamala Samne Aya ThaJiske Baad WADA Ne Apni Action Liya.
Ye Battle Kayi Saalo Se Na Sirf Athletes BalkiFans, World Leaders, Sports Governing Bodies And Media Ke Liye Vishay Ka Kendra Bana HuaHai. Inn Saalo Me Kafi Baar Ye Samjhna MushkilTha Ki Kisko Blame Krna Hai And Kisko Punish Karna Hai Aur Kaise Doping Ko Sports Se KhatamKarna Hai.
Ban Ke Announcement Hone Wale Months Me Public Ke Beech Me Confusion Bani Thi Ki “Ban” Ka Sahi Matlb Kya Hai. Ban Ka Sahi Matlb YahiHai Ki Kisi Tokyo Olympics Ya Kisi Bhi Global Events Me Russian Flag, Name And Anthem KoAllow Nahi Kiya Jayega.
Iska Matlb Ki Kisi Bhi Swim Caps, Jerseys, Singlets, Leotards Ya Kisi Bhi Equipment Par Russia Ka Flag Nahi Rhega. Russia Ke Winners Russian Anthem Nahi Sun Sakenge. Russian Athletes, Team Events Jisme Relay Bhi Shamil HaiUsme Participate Kar Sakenge Iska Matlb Russian Athletes Tokyo Me Participate Kar Sakenge JismeUnko Ek Neutral Flag Ka Istemal Karna Pdega.