COVID-19 Ke Spread Ko Kam Karne Ke Liye Russian Government Ne Kuch Initiative Start Kiya Tha Us Wajah Se Russian Anti-Doping Agency Ne Announce Kiya Ki Wo Iss Month (May) Ke End Se Testing Karna Resume Karenge.
“Hum Log Ab Wait Kar Rahe Hai World Anti Doping Agency (WADA) Ki Taraf Se Kiye Jaane Wale Latest Announcement Ka,” RUSADA Ke Director General Yuri Ganus Ne Ek Online Press Conference Mei Kaha. “Humlog May Ke Last Ten Days Se Testing Start Kar Denge.”
Jab Testing Resume Ho Jayegi Doping Control Officers Personal Protective Equipment Wear Karenge.
RUSADA Ka In-Person Testing Plan U.S Anti-Doping Agency Se Differ Karta Hai. Last Month, Pandemic Ke Response Mei Ek At-Home Testing Initiative Launch Kiya Tha Jo Athletes Ko Allow Karta Hai Khud Ka Blood Aur Urine Sample Collect Karne Ko, Is Process Ke Kuch Aur Parts Ke Saath Jise Video Calling Ke Through Observe Kiya Jaata Hai. Olympians Ryan Murphy, Katie Ledecky, Aur Lilly King Un Athletes Mei Se Hai Jo Is Pilot Program Ko Test Aur Run Karenge.
RUSADA Ko 2015 Mei Suspend Bhi Kiya Jaa Chukka Hai Jab WADA Ko Russian Athletes Mei Doping Ke Widespread Ka Pata Chala Tha. Organization Ko September 2018 Mei Conditionally Reinstated Kiya Gaya Tha, But Uske Baad Use Late 2019 Mei Non-Compliant Declare Kar Diya Gaya Tha Jab WADA Ko Ye Pata Laga Tha Ki Moscow Lab Ke Paas Manipulated Data Tha.
Last Month, Russia Ke Sports Minister Oleg Mattsin Ne Kaha Ki In Wake Of The COVID-19 Pandemic, International Sporting Authorities Ko “New Page Turn Karna Chhaiye” Aur WADA Ne Russia Ko International Competition Mei 4-Year Ka Ban De Diya Hai. Ye Ban December 2019 Mei Announce Kiya Gaya Tha, Isme Russia Ko Kisi Bhi Major International Sporting Event Mei Compete Karne Se Mana Kiya Gaya Tha For A Four-Year Period. Russian Athletes Jo Ki Guilty Found Nahi Kiya Gaye Hai Wo Abhi Bhi Unattached Compete Karne Ke Liye Able Hai, Aur Nation Ne Is Decision Ko Court Of Arbitration For Sport Mei Appeal Kiya Hai.
Latest Indian Swimming News Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Jarur Like Kar Le.