Samagra Shiksha Kerala Ka Kozhikode Office Ek Project Launch Karega Jisme District Ke Differently Abled Students Ko Swimming Ki Training Offer Ki Jayegi.
Iska Title Hoga Building Elegant Attitude Through Swimming (BEATS), Is Project Ko Isliye Banaya Gaya Hai Taaki Students Ko Equip Kiya Jaa Sake Natural Disasters Ko Handle Karne Ke Liye Aur Unki Life Skills Ko Enhance Karne Ke Liye, SSK Officials Ne Sunday Ko Kaha. Unhone Kaha Ki Aisa Project Kerala Mei First Time Implement Kiya Jaa Raha Hai Wo Bhi General Education Department Ke Under.
Training Sessions 1st September Se Shuru Honge, Aur Iske First Phase Mei 100 Students Ko Include Kiya Jayega. Initial Stage Mei Kozhikade Corporation Ke High Schools Aur Higher Secondary Schools Ke Visually Impaired Students Ko Priority Di Jayegi, Unhone Add Karte Huye Kaha.Is Programme Mei Girls Aur Boys Dono Participate Karenge. Each Batch Mei 10 Students Honge.
SSK District Project Coordinator A.K. Abdul Hakeem Ne Kaha Ki Students Ko Block Resources Centres Ke Through Chose Kiya Jayega Aur Parents Ka Consent Bhi Mandatory Hoga. The District Sports Council And Bengaluru-Based Equibeing Foundation, Jo Ki Visually Impaired Ki Cause Ke Liye Work Karti Hai, Wo Bhi Is Project Ke Sath Associated Hai. East Nadakkavu Ka Swimming Pool Jo Ki Sports Council Ke Under Mei Hai Use Training Sessions Ke Liye Use Kiya Jayega. Council Trainers Bhi Provide Karegi.
Sessions Ek Hour Ke Liye Honge Subah 8 Baje Se. Sports Council Ke Trainers Ko Equibeing Foundation Train Karegi. Sabhi Student Ko Lifeguard Ke Dwara Monitored Kiya Jayega. Vehicle Service Bhi Provide Ki Jayegi Unke Homes Se Training Centre Tak Aur Uske Baad Schools Tak Bhi. Students Ko Food Bhi Diya Jayega. SSK Ne Is Project Ke First Phase Ke Liye 4 Lakh Rs Alag Hi Rakhe Huye Hai.
The SSK Officials Ne Kaha Ki Unka Ye Effort Differently Abled Ke Liye Swimming Ko As A Therapy Ke Jaise Use Karna Hoga. Iske Baad Ke Phases Mein Autism, Cerebral Palsy Aur Movement Disabilities Wale Students Ko Trained Kiya Jayega Unhone Add Karte Huye Kaha.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi