Swimming Ke Session Jab Start Hote Hai To Jyadatar Swimmer Day 1 Ko Sirf Enjoy Karne Ke Liye Jate Hai Lekin Kuch Swimmers Jo Off-Season Se Hi Apne Next Season Ke Bare Me Serious Rhte Hai Wo Day 1 Se Hi Apni Practice Start Kar Dete Hai. Day 1 Ki Importance Ko Smjhna Bahot Jruri Hai Kyuki Agar Aapne Day 1 Ko Enjoy Kiya And Apni Practice Ko Next Day Ke Liye Taal Diya To Aap Bohot Kuch Miss Kar Denge.
Day 1 Ko Enjoy Karna Do Chiz Ko Btata Hai.
First – Ya To Aap Swimming Ko Lekar Serious Nahi Hai.
Second – Ya Aapko Confidence/Overconfidence Hai Ki Aap 1 Din Skip Krke Bhi Dusro Se Better Kar Skte Hai.
Aapko Pta Hoga Ki Michael Phelps Ne Apni Practice Ka 1 Day Bhi Nahi Miss Kiya, Or Jab Pucha Gya Ki Aapne 365 Days Practice Kari Or Ek Bhi Gap Kyu Nahi Liya To Michael Ne Answer Dete Hue Bola Ki 1 Din Skip Krna Means Aap Apni Practice Ko Kuch Din Piche Ki Or Le Jate Hai. To Jo Swimmers Is Season Kuch Behtar Krna Chahte Hai Wo Kisi Bhi Chiz Ko Hlke Me Lekar Practice Na Hi Kre To Behtar Hai Kyuki Ab Dhire Dhire Competition Ka Level Jo Badh Rha Hai Sayad Aane Wale Next 10 Year Me Indian Swimmers International Level Jaise Commonwealth Ya Olympic Jaise Platform Par Bhi Apna Dab-Dba Bna Payenge.
Past Me Jo Mistake Hui Usi Par Work Krke Sudhar Krne Par Hi Real Improvement Milega.
Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule :- SwimSwamhindi
Join Us:-
Facebook► SwimSwam Hindi