Paris Olympics: Games Organisers Ka Manna Hai Ki Seine Nadi Swimming Ke Liye Safe Hai
Marathon swimmers and triathletes ko 26 July ko Olympic start hone ke baad saaf kiye gaye paani me utarna hai.
Haal hi me hui heavy rain ki complications ke baad bhi paani ki quality me improvement ke liye 1.5 Billion Dollar ke investment ke baad bhi Paris Olympics me Seine Nadi me swimming ki planning ki gayi hai.
Olympic Games ke executive director Christophe Dubi ne Thursday ko shahar ke officials and Summer Game Organisers se sunne ke baad ak online briefing me kaha, “ isme doubt karne ka koi reason nahi hai.” “Humein yakeen hai ki hum iss garmi me Seine Nadi me swimming karenge.”
Marathon swimmers and triathletes ko 26 July ko Olympic start hone ke baad saaf kiye gaye paani me swimming karne ka programme hai.
France ke President Emmanuel Macron and Paris ki mayor Anne Hidalgo ne dip lagane aur apne citizens aur aane wale athletes ko sab kuch thik dikhane ke liye promise Kiya hai.
Cleaning ka purpose Austerlitz Train station ke bagal me ak huge reservoir khodna hai, taaki baarish ke excess paani ko store kiya ja sake aur bacteria -laden waste ko Nadi ki paani me jaane se roka ja sake. Last August me Paris me purane sewers me heavy rainfall ki wajah se Olympics ke kuchh test events held nahi ho paaye the.
Organisers ko iss garmi me ab Tak Mausam ke saath bhi luck sahi nahi laga hai. Dubi ne maana ki heavy rainfall ne iss mudde ko aur jada complicated bana diya hai, halanki unhone kaha ki Thursday ko update “bahut reassuring tha.”
Paris Olympics ki other news me- 124 saal pahle ki- IOC ne Thursday ko France ko 1900 Summer Games me se ak extra medal diya aur ise Britain se le liya.
Purushon ki 25km cycling me Lioyd Hildebrand dwara jeeta gaya silver medal ab France ko diya gaya hai, kyuki IOC ke executive board ne decide kiya, “bhale hi Hildebrand ak British citizen the, lekin unka janm aur paalan-poshan France me hua tha aur unhone Paris 1900 se pahle aur baad me ak French club ke liye compete kiya tha”
Mumbai Me Swimming Karte Samay 15 Saal Ke Ladke Ki Electrocution Se Maut: Cops
Mumbai police ke according paas ke ak hotel dwara paani nikalne ke liye well me illegally motor install kiye jaane ki wajah se ladke ki current lagne se death ho gayi. Iss unlawful setup ki wajah se ye accident hua jiska result ye hai ki bachche ki maut ho gayi.
Mumbai: Poliice officials ne bataya ki Saturday ko Mumbai ke Chembur area me ak well me swimming karte samay bijli ka jhatka lagne se ak 15 saal ke bachche ki maut ho gayi.
Ye ghatna Chembur ke Mahul gaon me hui.
Mumbai police ke according, paas ke ak hotel ne paani nikalne ke liye well me illegally motor install kiya tha jis wajah se bachche ki maut hui. Iss unlawful setup ki wajah se ye accident hua jiska result bachche ki maut hai.
Hotel ke owners Anant Mahulkar, Dayaram Mahulkar and Hariram Mahulkar ke against ak gair iradtan murder case file kiya gaya hai.
According to police sources, teeno logon ko arrest kar liya gaya hai aur filhal wo 18 June tak police custody me hain.
Ghatna ke baare me aage ki jaankari ki pratiksha hai kyunki investigation continue hai.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi