You are working on Staging1

Shivani Kataria Ki Najar Tokyo 2020 Ke 200m Freestyle Ke B Qualification Par

Braden Keith
by Braden Keith 0

November 19th, 2019 Hindi

The Bridge Par Shivani Kataria Ka Ek Interview Nikla Hai Jisme Shivani Ne Btaya Hai Ki Tokyo 2020 Olympics Me 2016 Rio Olympics Se Behtar Krna Chahti Hai. Unhone Apne Interview Me Kaha-

“Maine Kabhi Nahi Sohcta Tha Ki Mai Apni Country Ko Ek Din Olympics Me Represent Krungi, Ye Mere Liye Mere Dream Ka Sach Hona Tha Lekin Rio 2016 Olympics Ke Result Waisa Nahi Tha Jo Maine Expect Kiya Tha, Ami Ek Baar Firse Olympics Ka Ek Hissa Bnne Ke Liye Puri Kosis Krungi”

“Meri Journey Tab Start Hui Jab Mai 6 Saal Kit Hi Or Gurgaon Me Rhti Thi, Swimming Se Mera Lgaw Summer Me Hua Tha Jab Mai Apne Ghar Ke Pass Ke Gang Nath Swimming Centre Par Jati Thi, Mujhe Tab Ye Bilkul Nahi Pta Tha Ki Pool Par Sirf Jane Me Ek Din Mera Lgaw Swimming Sebahut Ghra Ho Jayega, Usi Pool Par Kuch Swimmers Ka Ek Group Tha Jo Professionally Training Lete The, Maine Bhi Us Team Me Hissa Liya Or Meri Performance Dhire Dhire Improve Hone Lgi, Uske Baad Mai District Level Par Fir State Level And Fir National Level Par Apni Performance Improve Krne Lgi, Mere Coaches Ne Mera Bharpur Sath Diya Or Mujhe Suggest Kiya Ki Wo Banglore Jakar Apni Training Ko Or Acche Level Par Improve Kre”

“2013 Me Maine Banglore Ke Dolphin Aquatics Me Enroll Kiya And Waha Se Chize Or Bhi Jyada Shape Me Aane Lgi, Uske Baad Meri Performance Me Boost Milne Ke Karan Maine Apna First International Meet “Asian Youth Championship” Me Hissa Liya Jaha Mai 6th Position Par Ayi. Uske Baad Meri Performance Slowly Improved Hui And Maine 2014 Me Youth Olympics Me Participate Kiya Jo Ki Nanjing, China Me Hua Tha.”

Unhone Apne Interview Me Aage Btaya Ki Unko 2015 Me FINA Ki Taraf Se Scholarship Bhi Mili Jisme Unko Spanish Coach Ke Under Thayanpura, Phuket Me Training Krne Ka Mauka Mila. Training Me Unko Ek Din Me Total 3 Session Me Practice Par Jana Pdta Tha, Jisme Unke Sath Southwest Asia Ke Swimmer Bhi Rhte The Jiske Karan Unki Progress Or Bhi Achi Tarike Se Hone Lgi. Usi Camp Me Unko Pta Chla Ki Or India Ki Taraf Se Ek-Lauti Female Swimmer Hai Jo Rio 2016 Me Participate Krengi. 2015 Me Unhone National Games Me 100m Freestyle Me Gold Jeet Kar Indian Best Swimmer Ka Title Bhi Apne Name Kiya Tha. 

Unhone Iski Credit Apne Parents Ko Dete Hue Bola Ki “Meri Life Ki Choti Achievement Se Lekar Har Badi Achievement Tak Mere Parents Ne Mera Sath Diya, Bina Unke Support Ke Kuch Bhi Possible Nahi Ho Pata, Mera Sapna Tha Ki India Ko Globally Represent Krna Jiske Karan Mere Parents Ne Banglore Aane Ke Liye Koi Bhi Hesitation Nahi Dikahyi, Mere Parents Ne Mukhe FINAncially And Emotionally Dono Tarah Se Support Kiya”

“Ye Saal Pre-Olympic Year Hai And Mai Kisi Bhi Chiz Par Jaldi-Baji Nahi Karna Chahti Hu, 200m Freestyle Event Me B Qualification Mark 2:02 Ka Hai Jiko Mai Hasil Krna Chahti Hu, Jiske Liye Mai Ye Pura Year Apni Training Par Focus Kar Rhi Hu And April 2020 Me FINA Event Me Participate Krungi, Jaha Mai Is Mark Ko Hasil Krne Ka Pura Prayash Krungi.”

Indian Swimming Or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-

0
Leave a Reply

Subscribe
Notify of

0 Comments
newest
oldest most voted
Inline Feedbacks
View all comments

About Braden Keith

Braden Keith

Braden Keith is the Editor-in-Chief and a co-founder/co-owner of SwimSwam.com. He first got his feet wet by building The Swimmers' Circle beginning in January 2010, and now comes to SwimSwam to use that experience and help build a new leader in the sport of swimming. Aside from his life on the InterWet, …

Read More »