Aaj Ka Workout Swimmers Ki Kick Ko Improve Karne Ke Liye Hai Jisme Resistance, Weight Belt Jaisi Chizo Ka Use Hua Hai, Iska Main Motive Kick Ki Power Ko Improve Krna Hai Or Swimming Karte Wakt High Velocity Generate Karna Hai.
To Chaliye Dekhte Hai Aaj Ka Workout:-
Set #1
Niche Diye Gye Sets Ko Total 2 Baar Krna Hai:
- 300m Kick(25m Easy, 75m Mild Kick Aur Main Focus Ye Rakhna Hai Ki Har Kick Se Kitni Distance Cover Ho Rhi Hai) Iske Sath Aap Weight Belt Ka Use Bhi Kar Skte Hai Jo Swimmers Ki Body Ka 10% Hi Hona Chahiye Isse Jyada Weight Mai Nahi Suggest Kar Skta Hu.
- 100m Fins Ke Sath Kick Karni Hai Or Isme Bhi Iss Baar Ka Pura Dhyan Rkhna Hai Ki Har Kick Ki Jyda Se Jyada Distance Cover Ho.
- 1*50m Fast Kick
Set #2
Iss Set Ke Bhi 2 Round Krne Hai:
- 300m Silent Kick (Koi Bhi Bubble Nai Produce Hone Chahiye Kick Krte Wakt It Means Kick Water Surface Ke Ander Hi Chlegi)
- 8*25 45sec Par Restart Fast Kick Karna Hai(Kick Board Ka Use Nahi Krna Hai Aur Main Focus Streamline Par Rkhna Hai) Weight Belt Ka Use Krna Bhi Ek Accha Option Hai.
- 1*50m – 25m Fast – 25m Underwater Fast
Set #3
Iske Bhi 2 Round
- 5min Wall Kick
- 8*50 1:30 Par Restart Krna Hai Kick Ki Speed Average Se High Rhegi.
- 8*25 40sec Ka Restart Krna Hai Fins Ke Sath
Set #4
- 10*100 2min Ka Restart Speed Normal To High Rhegi
Agar Apko Ye Kick Workout Pasand Aaya Ho To Please Niche Comment Karke Jarur Btaye Isse Mujhe Aur New Or Best Article Lane Ke Liye Motivation Milta Hai, Thank You.
Join Us:-
- Google Plus:- SwimSwam Hindi
- Twitter:- SwimSwam Hindi
- Facebook:- SwimSwam Hindi
- Pintrest:- SwimSwam Hindi
- Flipboard:- SwimSwam Hindi
- SwimSwam Hindi Whatsapp :- +91 81879 96947 Or SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega
Such a good combination of kick sets