Hello, Aaj Ham Training Ki Intensity Measure Kare Lactate Se- Part 1 Ko Continue Krte Hue Part 2 Ko Dekhenge, Part 1 Me Ham Logo Ne Dekha Tha Ki Kaise Aerobic Capacity Training Me Role Play Krti Hai And Kaise Wo Sprinters And Long Distance Swimmers Ke Liye Important Hai. Aerobic Capacity Ka Last Point Jo Ki “Training Ability” Hai Usse Ham Apne Is Part Ko Continue Karenge.
Aerobic Trainability(High Intensity)
Energy Release Ke Process Me Aerobic System Ko Sabse “Trainable System” Mana Gya Hai.
Biological Adaptation, Aerobic Capacity(Oxygen Ka Intake Maximum) Ke Sath Sath Side Me Hi Chalta Rhta Hai Lekin Ye Thoda Complex And Slow Hota Hai. Aerobic Capacity Ko Behtar Karne Ke Liye Apko Usko Time Dena Pdega And Ek Set Ko Plan Krna Pdega Jise Aap Lagbhag 8 Week Tak Follow Karenge.
Aerobic Capacity Ki Development Ke Liye Kafi Jyada Training Karni Hoti Hai.
Anaerobic Capacity, Aerobic Capacity Ki Energy Ke Liye Fuel Ya Supplement Ka Kaam Karti Hai Isliye Ye Behad Hi Important Hai Ki Ham Aerobic Ke Sath Sath Anaerobic Capacity Ko Bhi Ek Level Tak Maintain Karke Rakhe.
Isliye Chache Wo Basic Training Ho Ya Competition Season Ho Ya Intense Training Ho Ya Kafi Long Practice Ho Inn Sab Sab Ka Workout Aerobic Capacity Ko Better Bnane Ke Liye Hona Chahiye.
Anubhav Se Ham Sikhte Hai Ki Aerobic Capacity Ko Speed Training Ke Sath Combine Karna Chahiye And Iske Sath Sath Uss Training Me Bhi Aerobic Capacity Ka Use Hona Chahiye Jisme Muscles Apni Maximum Strength Ka Use Kre. Endurance Training And Speed Training Me Hame Swimmers Ke Arms Ko Same Rakhte Hue Unki Explosive Power Ko Minimize Karna Chahiye.
Anaerobic Capacity Ko Monitor Krne Ke Aim Se Ham Lactate Ki Reading Se Anaerobic Capacity Ki Measurement Krte Hai.
Anaerobic Capacity – Anaerobic Capacity Ko Evaluate Karna Kafi Jyada Difficult Task Hai.
First: Isko Hame Us Event Ke Sath Use Karna Hai Jiski Tyari Swimmer Kar Rha Haikyuki Isse Hme Pta Chlega Ki Kitne Level Ki Anaerobic Capacity Swimmers Ke Liye Important Hai And Usse Swimmers Ko Advantage Mil Skta Hai.
Example Ke Liye Agar Ham Dekhe To: 50m Sprints Wale Swimmer Ko Kafi Jyada High Anaerobic Capacity Ki Jarurat Hoti Hai (0.09 Mmol/Kg/Min Se Jyada Ki), Iska Reason Ye Hai Ki High Anaerobic Capacity Hone Se Energy High Amount Me Release Hoti Ha Jisse 50m Ki Race Ke End Tak Swimmer Apni Maximum Speed Bnaye Rakh Skta Hai.
Longer Distance Competition Me Anaerobic Capacity:
*Jitna Ho Ske Aerobic Capacity Ko Involve Kare Jo Anaerobic Potency Ko Maximize Krega.
Second: Swimming Me Anaerobic Capacity Bhi Aerobic Capacity Par Hi Depend Karti Hai.
“High Aerobic Capacity” Ko Anaerobic Capacity Kafi Help Karti Hai
Stimulation Program Se Pta Chla:
- High Aerobic Capacity Ke Liye Anaerobic Capacity Ka Hona Jruri Hai.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamhindi
Join Us:-
- Google Plus► SwimSwam Hindi
- Twitter► SwimSwam Hindi
- Facebook► SwimSwam Hindi
- Pintrest► SwimSwam Hindi
- Flipboard► SwimSwam Hindi
- Swimswam Hindi Whatsapp ► +917237873486 Or SwimSwam Hindi
- Telegram: SwimSwam Hindi
Rules:-
- Sirf Swimming Related Topic Hi Group Me Dale.
- Swimming Related Questions Ya Apni Swimming Video Group Me Share Kar Skte Hai
- Swimming Ke Alawa Koi Bhi Message Krne Wale Ko Group Se Remove Kar Diya Jayega