Norway And United Kingdom Se Inspire Hote Hue India Ne Swimming And Water Safety Training Ko Apne Physical Education Curriculum Me Include Karne Ke Liye Consider Kiya Hai Taki India Me Dubne Wali Ghatnaye Kam Ho Sake.
England Me 1994 Se Water Safety And Swimming Ka Program Ek Statutory Element Raha Hai Jisko 2015 Me Norway Ne Bhi Apnaya. India Me Kafi Sare Private And Govt School Aise Hai Jaha Par Swimming Pool Hai Leki Swimming And Water Safety Abhi Tak Optional Hi Rakha Gya Hai, WHO Ke Statistics Ke According Har Saal Pure World Me 3.6 Lakh People Dubne Ke Karan Mare Jate Hai Or India Me Har Din Lagbhag 80 Log Dub Jate Hai. Agar Inn Numbers Ko Dekha Jaye To India Ko Inn Statistics Ne Najar Andaz Nahi Kiya Ja Skta Hai.
Or India Me Inn Dubne Ke Cases Me Jyada Tar 3 Se 5 Saal Ke Bacche Shamil Hote Hai.
“Dubne Ke Cases Ke Itne Jyada Numbers Indian Govt Ke Liye Ek Wake-Up Call Honi Chahiye Or Swimming And Water- Safety Program Ko Children Ke Liye Ek Priority Call Par Rkhna Chahiye”.
India Ki Rastriya Life Saving Society (RLSS) Ne Haal Hi Me Swim N Survive Pilot Project Ko Kerala Me Launch Kiya Hai, Swim N Survive Pilot Project Ek Water Safety Initiative Hai. Jo Baccho Ko Swimming Skills And Drowning Se Bachne Ki Skills Ko Promote Karegi.
Indian Swimming or International Swimming Ke News Janne Ke Liye Facebook Par SwimSwam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:- SwimSwamHindi